November 27, 2019
Saugata Roy speaks on the Dadra and Nagar Haveli, and Daman and Diu (Merger of Union Territories) Bill, 2019

FULL TRANSCRIPT
The Union Territory Bill, I remember, mera bachpan ka yaad ata hain, Kolkata ke raste pe julush nikla tha, Goa Daman Diu chhoro, abhi chhoro, jaldi chhoro. Sir, aap shayad jante honge ki Bangal ke bahut log Goa ka liberation ke liye Goa gaye the, arrest huya tha. Hamare Tridib Chaudhuri the, wo jail mein 19 mahina bitayaen. Sir, unlogo ka jo kasht hua wahapar, unko mein yaad karta hoon.
Sir, main shraddha jatata hoon Jawaharlal Nehru ka, unho ne Hindustani sena Goa bheja 1961 ka December mein. Wo agar nehi bhejte to Goa kabhi azaad nehi hota aur Goa ke saath Daman, Diu azaad ho gaya. Uske pehle Dadra and Nagar Haveli ke log khud apne ko azaad kar liya tha 1954 mein, aur jab Jawaharlal Nehru Goa ko azaad kar diya, tab Goa, Daman, Diu, Dadra, Nagar Haveli sab azaad ho gaya. Lekin Goa baad mein ek rajya ban gaya. Daman, Diu aur Dadra aur Nagar Haveli inko alag se Union Territory bana diya gaya. Mei to Mohan ji ka jo maang hai ki Daman, Diu, Dadra Nagar Haveli mein Vidan Sabha hona chahiye, mein uska pura samarthan karta hoon. Mein ye bhi sochta hoon ki Lakshadweep aur Andaman mein bhi elected legislature hona chahiye. Hindustan mein koi bhi Union Territory nehi rahna chahiye jahapar representative sarkar nehi ho. Amit Shahji naujawan hain, aur Griha Mantri hai; main asha karta hoon ki is baat mein woh disha dikhaye.
Sir, Daman-Diu prosperous hai, jaise Dilkar ji bataya, 5000 crore rupaye revenue deta. Kyun? Wahan par tax holiday tha 1992 se, aur wahan par textile bahut develop kiya. Gujarat se laga hua hai to Daman ka do advantage hai. Daman mein Gujarat ke log daaru peene chahta hai woh Daman mein jata hai aur wahan acha sea beach hai, wahan acha church hai aur wahan excise se bhi bahut revenue Daman mein aata hai. Population Dadra Nagar Haveli mein zyaada hai, 2 lakh hai, aur Daman-Diu ka population keval 1.5 lakh hai. Chhota chhota Parliament constituency hai. Toh main yahee kehna chahta hoon ki yeh jo NDA sarkaar ko ek tendency hai merge karna. Isko giganticism bolta hai. Yeh dekhiye bank sab, paanch bank ko ek saath merge kar liya, chaar territory ko ek saath merge kar liya lekin Sunekar ka kitaab unko padhna chahiye, ‘Small is Beautiful’. Jitna chota pranth hoga, utna achha prashasan hoga, administration hoga. Toh woh kar liya. Main toh support karunga, lekin yeh hona chahiye.
Ant main Sir, ek baat bolna tha. Griha Mantri iske pehle bola ki Bangal mein BJP ke logon ko khatra hai isliye usko CRPF protection diya. Main isse sehmat nahin hoon, yeh sahi nahi hai. Bangal mein sabhi logon ki suraksha hai. CRPF dene ka unko koi zaroorat nahin hai. Iske saath main samapt karta hoon.