Lok Sabha

November 20, 2019

Saugata Roy speaks on The Chit Funds (Amendment) Bill, 2019

Saugata Roy speaks on The Chit Funds (Amendment) Bill, 2019

FULL TRANSCRIPT

Sir, main aap ka dhyan akarshan karunga. Yeh Chit Fund Amendment Bill pichhle Lok sabha mein rakha gaya tha. Uske bad woh Standing Committee mein aaya; main bhi member tha. Hum log August, 2018 mein humara report submit kiya, aur yeh hain November, 2019. Standing Committee ke report ke bad ek saal teen mahina laga phir Bill ko lane mein. Ab yeh Bill main date hain, Nirmala Sitaraman July, 2019. Itna din kyun laga ek Bill lane mein? Yeh jo der hota hai isi se kaun ka efficacy kam ho jata hain.

Dusri baat hain ki chit fund ke bare mein logon ka dharna saaf nahi hain. Yeh jo humari bahen Tripura se boley aur dusre log bhi boley, who bol rahe the collective investment scheme ki bare mein. Yeh chit fund bohut chota chiz hain. Kuch log milke ek fund banate hain, unhi log usme baant lete hain. Public se paisa uthane ka koi sawal nahi hain. Iss mein koi badlav lane ka zaroorat tha, woh laye hain. Abhi chit fund ko fraternity fund kaha jayega. Foreman ka compensation baraya jayega. Aur yeh Chit Fund Amendment Bill mein koi apatti nahi hona chahiye.

Jab foreman meeting karega video conferencing mein do member us mein bhaag le sakte hain. Main to is ke khilaf hoon. Main samajh ta hoon sab logo ko present hona chahiye. Lekin tab bhi yeh Chit Fund Amendment Bill jo laye hain is mein khaas apatti nahi hain kyun ki sarkar ne pura Standing Committee ka report follow kiya hain aur yeh Bill mein us hi ko include kiya hai.

Yaha par bhashan dete huye sab log Sarada, Rose Valley, Punjab ke Pearl, Odhisa ka Sea Shore yeh sab bola hai. Yeh jo hazaro crore rupiya ka ghotala hua, is ke liye do cheez zimmedar hai. Ek humara Banking System ka failure, hum logo tak nahi pahunch sake, who sab collective investment scheme unka paisa utha liya through personal influence. Agar banking system sab jagah pahunchta toh log iske paas nahi jate.

Yeh ‘chit fund’ naam misleading hai. Yeah cheat nahi hai, yeah chit matlab kagaz ka chota sa tukda. Sab log is pe hi bhashan dete gaye ki yeh Sarada hua, Narada hua. Is ke saat yeh Bill ka koi taluk nahi hai. Main jo keh raha tha ki ek toh banking system ka failure, doosra yeh collective investment scheme bana. Aur tha humare regulators ka failure. Humare desh main regulators hain. Reserve Bank of India ek regulator hain, SEBI (Security and Exchange Board of India) ek regulator hain, humara Company Affairs Department main SFIO (Serious Fraud Investigation Office) yeh bhi ek regulator ho sakta hain.

Yeh log kuch kaam nahi kiya; isiliye hazaro crore is mein dub gaya. BJP ke do mananiya sadasya, Paschim Bangal se, Locket Chaterrjee aur Dilip Ghosh, is par bhashan karte gaye. Bill ke upar kuch nahi bola, sirf Paschim Bangal ke Mukhya Mantri ke khilaf kuch ilzaam lagaya. Main kari ninda karta hoon aur main aapse appeal karta hoon ki aap usko dekh ke, jahaan Paschim Bangal ke Mukhya Mantri ka naam hai use nikal diya jaye.

Humlog sab chahte hai ki chit fund mein doshi hain usko sasti ho, toh aapke hath mein CBI hain, to CBI itne din tak kyun kuch nahi kiya? Sir, yeh sab baatein yahan uthana thik nahi tha. Humare desh ke financial system mein jo galtiya hain, woh galtiyon ko humein sudharna hain. Sarkar kuch kadam uthaye hain, unregulated deposits par. Abhi pravdhani lagaya giya hain, aur bhi kada kadam uthana hain, ta ki Desh ka garib aadmi ka paisa chaupat nahi ho.
Agar koi case aisa ho to case ka jaldi jaldi faisala kijiye. CBI ke chargesheet mein sasti hoga; jo hona hain hoga. Lekin House mein ilzaam lagana ki TMC ke log unse juda huya hain, yeh ghalat baat hain, yeh hona nahi chahiye. House ka maryada ko chhota karte hain aise.

Mein asha karunga ki ruling party ke log yeh nahi karenge kyunki aap pe zimmedari hain. Desh ko chalane ka zimmedari hain. Agar koi doshi paya jai to usko sasti dene ka zimmedari hain. Yeh zimmedari aapko thik se nibhana chahiye. Jhagra karke nahi, House mein ghalat ilzaam lagake nahi.

Iske saath maine kuch amendment diya hain. Lekin, on principle jo Chit Fund Amendment Bill aap laye hain, jo Standing Committee ke report ke anusar hain, usko main samarthan deta hoon.

Namaskar.