Rajya Sabha

March 16, 2020

Md Nadimul Haque demands Bharat Ratna for Mirza Ghalib

Md Nadimul Haque demands Bharat Ratna for Mirza Ghalib

FULL TRANSCRIPT

Shukriya Sir.

Hui Muddat Ki Ghalib Mar Gaya Par Yaad Aata Hai 

Woh Har Ik Baat Par Kehna Ki Yun Hota Toh Kya Hota

 

Main awaam se mutalba karta hu ki Mirza Ghalib ko batazmar Bharat Ratna ko award se sarfaraz karein. Agra mein paida hone wala Ghalib mahez gyara saal ki umar mein shayari shuru ki thi. 

Unhone apni ghazal goyi se purani rawayat ko tora aur apni shayari mein falsafa aur taheba tahe zindagi pesh kyi. Urdu nazm mein bhi unki khidmat bemisaal hain.

Yeh bari fakr ki baat hain ki Mamata Banerjee ki sarbagirahi mein Magribi Bangal Urdu Academy ne Ghalib ki Safar-e-Kalkatta ki 192 saalgira ki mauke par bayade Ghalib ki unwan se unhe zabardast sarayakikat pesh kiya.

Unke maut ke 150 saal baad pata chalta hain ki woh kisi zamane ke liye makhsoos nahi the. Balki unka kalam waqt ke sarhadon se bade hai. Unka sabse bara toufa yeh hain ki woh gaur-o-fikr karne aur sawaal uthane ka sabak dete hai. 

Barham Ghalib jis tarha se izaz kiya jana tha humse wo haq-e-ada nahi ho saka. In halat se Hukumat-e-Hind se mutalba karta hoon ki woh Ghalib ki khudadat salahetu ka itaraf karte huye unhe Bharat Ratna ki award se nawaze. Aisa karke hum sirf Mirza Ghalib ka nahin balki khud apna izaz karenge. 

 

Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhan-var Bahot Achhe, 

Kehte Hain Ki Ghalib Ka Hai Andaaz-e-Bayan Aur.