Lok Sabha

March 20, 2017

Saugata Roy asks a Supplementary Question on closed oil wells

Saugata Roy asks a Supplementary Question on closed oil wells

FULL TRANSCRIPT

Mantri Ji ne jo aankrein diye hain us mein Assam or Gujarat mein sab se zyada wells sabhi non flowing hain. Dono rajyo mein hazar ke barabar wells nahin function kar raha hain. Assam ke wells bahut purana hain. Digboi mein British zamane mein well hua tha. Lekin Gujarat ka well utna purana nehi hain. Ankelshwar mein oil unko mila tha.

Mantri Ji ne bola hain ke kis kaaran ke liye yeh kam nahin kar raha hain lekin yeh toh ek natural resource ka wastage ho raha hain. Mantri Ji ne kya is per janch kiye hain ki kyun Assam aur Gujarat mein itne wells kaam nahin kar rahe hain? Koi geo-physical study hua hain? Aur yeh wells revive karne ke liye koi foreign tecnology ka istemal karenge kya Mantri Ji?