Lok Sabha

December 13, 2021

Khalilur Rahaman makes Zero Hour mention on destruction of properties and livelihood in his constituency due to erosion of Ganga’s banks 

Khalilur Rahaman makes Zero Hour mention on destruction of properties and livelihood in his constituency due to erosion of Ganga’s banks 

FULL TRANSCRIPT

 

Sir, Ganga nadi hamara jatiyo nadi hain, Hamara Jangipur Lok Sabha area jo hain, woh Ganga ka sath laga hua hain. Hazaro aadmi roz puja karte hain yahan aur kheti ke liye pani bhi milta hain yeh nadi se. Sath hi Ganga ke kinare jo bhi gaon hain, woh sab mein ek sath mandir, masjid, school, shamshan ghat, idgah bhi hain.

 

Hamare Jangipur jo area hain, uske andar Farakka, Samshergunj, Raghunathgunj II aur Lalgola block mein, har saal jo Ganga mein jo erosion ho raha hain, uske liye hazaro ghar aur saath saath kheti ka zameen, school, mandir, masjid, shamshaan ghat ka kaafi nuksan ho raha hain. Kyunki ghar pani mein behla jaate hain, har saal, hazaro log ghar se beghar hote hain. Last year aap ke madhyam se, hamare Sarkar ko iss bare mein maine suchit kiya tha. Pradhan Mantri Modi ji ka sapna hain ‘sabka sath, sabkta vikas’. 

 

Sir, main phir se, aap ka madhyam se, Sarkar se yeh strongly demand rakhta hoon ki, yeh jo Ganga ka erosion ho raha hain, uska ek permanent vyavastha jald se jald jo jaye aur jo logon ki kshati huyi hain unko aarthik sahyata di jayen.

 

Dhyanavad, Sir.