December 14, 2012
Mr. Sukhendu Sekhar Roy’s speech in Rajya Sabha on FDI

VK-NB/1F/11.25
SHRI SUKHENDU SEKHAR ROY (WEST BENGAL): Mr. Chairman, Sir, I rise to support the Motion. Hamare vichar se FDI ka matlab Foreign Guided Intrusion hai, yani hamesha desh mein videshi punji ka anupresh ho raha hai, isse ghuspethion ka raaj hoga. Yeh baat sangsad ki vanijya mantralaya se sanbandhit standing kamiti ne bhi svikar ki hai aur isliye unhone 5 june, 2009 ko sifarish ki ki – `There should be a blanket ban from entering into trade in grocery, fruits, vegetables and other consumer products.` Yeh report ka paira 5.5 hai, lekin sarkar ne is report ka ek panna tak palatkar nahin dekha.
Abhi yahan bohut sari batein hui. Main Anand Sharma ji ki ek likhit jawab ka zikr karna chatha hoon, jo unhone pichle monsoon satr mein 5 sitambar, 2012 ko diya tha, jismein unhone sadan ko aashvasan diya tha ki – `The decision on 51 per cent FDI in multi-brand retail has been suspended in order to evolve a broader consensus among various stakeholders.`
Monsoon session ke dauran 5 sitambar, 2012 ko mere prashn ke uttar mein Anand Sharma ji ne yeh likhit javab diya tha. 7 tarikh ko Monsoon session khatam ho gaya tha aur 15 tarikh ko sarkar ne FDI lagu kar diya. Main puchna chahta hoon ki 10 dinon ke amndar consensus aagaya ? aapne kiske saath consultation kiya? Anand ji ne jaan bujhkar es sadan ko gumrah kiya, desh ki janta ko gumrah kiya`(vyavdhan)
Sabhapati ji, sarkar kah rahi hai ki desh ke vikas ke liye FDI bohut faidemand rahega aur pradhan mantri ji ki Economic Advisory Council ke Chairman, main unka naam nahin lunga, kyunki aapne mana kiya hai. Unhone kaha ki – `Once the share of overall modern retail in food reaches 25 to 30 per cent, it is bound to affect kirana traders first and then the small and marginal traders.` Pradhan mantri ji ki Economic Advisory Council ke Chairman ka yeh kahna hai.
Sabhapati ji, vanijya mantralay ke WTO grup ke jo sadsya hain, main unka bhi naam nahi loonga, veh Jawaharlal University ke bhi fakelti member hain, unhone kha hai ki `Why would a foreign company be interested in giving a higher price to the farmer? He will get what he is already getting. Kisan ko videshi kampani adhik kimat kyun degi? Usko vahi milega, jo use abhi mila raha hai.` Vanijya mantralay ke WTO grup ke jo sadasya hai, yeh unka abhimat hai.
sarkar bol rahi hai ki aap befikr raheye. Desh ke 53 shaharon mein jahan sirf 10 lakh aabadi hai, vahan ye videshi log mega stors kholenge. Aap itihas bhul gaye hain ya aapne itihas pada hi nahi hai? Aaj se 400 saal pehle san 1612 mein gujrat ke surat mein British East India kampani ka Captain Middleton pahucha tha aur tab unka pehla vanijya Kendra vahan khula tha. Aaj 400 salon baad bhi vhi ho raha hai. Jaise surat se bangal aur phir bangal se Hindustan mein East India kampani ka karobar fail gaya tha, usi tarah se phir se 400 salon baad in 53 shahron se yeh karobar shuru hoga aur phir sare Hindustan mein chaa jayega. Isse hamara kisan marega, hamara khudra vyapari marega.
Sarkar dava kar rahi hai ki duniya bhar mein FDI ka bohot achha asar pad raha hai. California University ke Prof. Nelson kah rahe hai ki Wall Mart jaisa sangathan duniya ke shahron mein jahan jahan bhi gaya hai, vahan ki khudra sansthayein Wall Mart ka cloned edition ban ke rah gaya hai. Jis tarah Dolly – cloned lamb hua tha, usi tarah ham Wall Mart ke khudra vyapar mein cloned Dolly banker rah jayeinge.
Missouri University ke Prof. Emek Basker ne 2005 mein research karke bataya ki 1977 se 1999 ke bich ke 23 salon mein amerika mein 1754 kaunti mein jahan tahan Wall Mart ke stores khule, vahan khudra vyaparik sangsthan dikhne band ho gaye.
SHRI SUKHENDU SEKHAR ROY: Sir, just two minutes. I should not be discriminated against other Members.
(samapt)