Rajya Sabha

March 20, 2017

Vivek Gupta makes a Zero Hour Mention on the welfare of drivers of app-based cabs

Vivek Gupta makes a Zero Hour Mention on the welfare of drivers of app-based cabs

FULL TRANSCRIPT

Upsabhapati Mahoday, main sarvapratham aap ko dhanyavaad dena chahta hoon ki aap ne mujhe aaj mauka diya is vishay ko uthane ke liye. Sir, yeh vishay khali taxi drivers ka vishay nahin hain, yeh technology ka bhi vishay hain. Technology insaan ke liye banti hain, insaan technology ke liye nahin banta hain.

Sir, recently main Kolkata mein apne ghar se airport ja raha tha taxi mein – Uber ke gadi mein. Woh driver kaafi dukhi tha – raaste mein baat karte karte unhone bataya ki Uber ne apne rate kam kar diye hain aur Ola ne bhi apne rate kam kar diye hain. Dono mein bahut competition hua. Us chakkar mein Uber ne kya karna shuru kiya – inko pehle mobile ka paisa milta tha, woh bandh kar diya, commission badha diya jo Uber inse charge karti hain, in par Uber ne apna tarika joh use karti hain, woh badal diya.

Sir, Uber, Ola commercial companies hain, joh marzi kar sakti hain. Magar kya hum log aankh neech ke dekhte rahenge? Kya Sarkar is par koi niyantran nahin karna chahegi, regulation nahin karna chahegi? Sir, mazein ki baat yeh hain, jo taxi drivers Uber aur Ola ke andar kaam karte hain, inke paas jaane ke liye koi daftar nahin kyun ki Uber aur Ola ka India mein daftar hi nahin hain. Aur Government ki kis vibhag ke paas jaye shikayat karne ke liye, Government bhi nahin aati hain saamne is vishay par. Toh yeh jo drivers hain Uber aur Ola ke, inke paas koi sunwayi nahin hain, koi Court unko entertain nahin kar raha, aur Government unko koi support nahin kar rahi hain.

Yeh sab problems thodi thodi dikh rahin hain aaj. Aap sabhiko shayad yaad hoga, thodi din pehle Dilli, Bangalore aur sab jagah mein Uber aur Ola ke drivers strikes pe chale gaye the, is liye taxi ki bahut shortage ho gayi thi. Sir, hamare jaise kayi log hain joh aaj bhi taxi ka vyavhar karte hain airport jaane ke liye, station jaane aane ke liye. Sir, is situation par agar jaldi niyantran nahin paya gaya toh yeh bahut bada situation ho jayega.

Kyun ki yeh driver log gaadi kharidi pichle ek do saal mein Uber ke saath ya Ola ke saath paanch saal ka agreement karne ke baad. Ek ek driver ka 40,000 rupiya kharcha aa jata hain mahine mein, EMI, petrol, diesel ka kharcha mila kar. Aaj jo haalat aa gayi hain, agar woh bees ghante bhi kaam karega, toh bhi who chaalis hazar nahin kama sakta. Sir, unkjo udhaar lene ke liye apne jeevan gyapan kar raha hain aur, Sir, bahut laldh woh jab udhaar na chukka sakega toh woh suicide karne pahunch jayega. Uske baad hum log jagenge.

Is se behtar hain aaj humlog jaage aur is par kuch na kuch karavayi karein. Sir, in logon ke upar airport mein parking charge bhi laga di hain Sarkar ne, 150 rupiya kar ke, jitni baar yeh log airport jaate hain. Sir, inka commission jo badhaya giya hain, Sarkar ke knowledge hain ki nahin mujhe pata hain. Sarkar kya karna chahti mujhe nahin pata. Mein aap ke zariye Mantri saab ko request karna chahta hoon ki is pe kuch spashtikaran de aur in logon ke job mein jo takleefein hain usko nijaat de.