Rajya Sabha

August 19, 2013

Nadimul Haque speaks on Wakf (Amendment) Bill

“Kafile se hat kar jo loota gaya, keya uska gham, 
Roiye uspe jo mir-e-karwa ke saath hai“

Deputy Chairman Saheb, main shukarguzar hoon uss parwartigar ka, jis mawood ne mujhe yeh toufiq bakshi ki aaj mein uski milkiyat, un wakf imlaq ke teheffooz ke liye ane wale bill per bolne ke liye khara hua hoon. Mein apni leader Mamata Banerjee ka bhi shukarguzar hoon jo iss mulk ki akliyaton ke sachchi humdard hai aur unhone bar bar amli taur per apne kamo ke zariye aysa sabit bhi kiya hai. Aaj main yahan unke issi ehesas ko pesh kar raha hoon, jiska maksat na sirf wakf imlaq ko lekar Musalmano mein ehesas-e-teheffooz peyda karna hai, walki kis kanoon ke zariye mulk ke 25 corer se zyada awam ke dilon mein eytbar aur biswas ko zinda rakhna hai, jiska wada mulk ke dastoor yaani constitution mein bhi kiya gaya hai.

Wakf (tarmimi) Bill, 2011 mein muktalif committees ke baad kuch achchi batein shamil ki gyi hai. Jayse ki Wakf survey ka kharach riyasati hukumate ada kregi; jin riyasaton mein Wakf Board nahi hai, wahan 6 mehine ke ander uska kayam hoga, koi bhi wazeer Wakf Board ka member nahi ban sakta, Wakf Imlaq per kabza karne walo ko kayd bamshakkat ki saza hogi, Wakf of tribunal 3 rokni hoga, wagera wagera. Leykin, main ek alag sawaal karna chahata hoon. Mujhe toh yeh janna hai ke Sachchar Committee, J.P.C aur Select Committee ki kaun kaun si sifarishat hai, jin ko aap ne nahi mana hai? Aap ne Sachchar Committee ki 76 mein 72 sifarishat mani hai aur 4 aysi hai, jo aap ko kabool nahi nai. In mein ek ehem point Wakf ke talluq se hi hai. In saari committees ki kai zaroori sifarishat hai, jinhe Tarmimi Bill mein shamil nahi kiya gaya hai. Jeyse- Wakf ke liye makhsoos All India Trader ka kayam, wakf survey ko har riyasat mein laazmi ya compulsory banana, iss survey mein azadi ke baad ke saare Wakf mamlat ko shamil kiya jay, Wakf survey ke commissioner ko mutation karne ki power di jay, Muslim tazeemon ke numayido ko Wakf Board mein jaga di jay, National Wakf Property Board banaya jay, kabizon, yaani encroachers, se nipat ke liye Wakf Board ke CEO ko magisterial power ke barabar akhtiyar diya jay, Wakf Imlaq ko Rent Control Act se mustasna rakkha jay, Public Properties Eviction of Unauthorized Occupants Act ko Wakf Imlaq ke khali karane mein bhi istamal kiya jay aur Wakf se muttalik saare mamlat ko ek saal lke ander ander hal kiya jay.

Magaribi Bangal mein bhi kafi dino se Wakf Imlaq ki loot jari hai. Hamari Sarkar ke aane ke baad “Maa Mati Manush” ki Sarkar ke ane ke baad iska sakhat notice liya gaya aur ghaflon ki tadad dekh kar CBI enquiry order ki gayi. Mere khayal se abhi iss waqt mulk me wohi ek riyasat hai, jahan Wakf per CBI enquiry ho rahi hai. Aaj CBI ke tahet 15 se jyada cases hai aur uske baad CID ke tehet bhi 33 Wakf Imlaq ke cases jere taftish hai. Wahan ke Wakf commissioner se hum ne baat ki, toh unho ne bhi kahan ke humein bhi bohoot saari mushkil darpesh aa rhi hai aur agar aap hamari baat bhi yahan tak pahucha sake, mulk ke samne rakh sake, toh hum aap ke shukraguzar rhenge. Unke kuch suggestion hai, jo humare bhi suggestions hai ke board ko power honi chahiye ki woh police ko hidayad de aur police un hidayat o ko maanne aur carry out karne ke liye majboor ho. Lease ki muddhad reasonable ho aur lease market rate per ho, jahan jahan lease ki baad aati hai. Mutballiyon numayindagi per aamdani ki sharayat na ho. Abhi aysa hota hai ki ek lakh aur usse upar ki aamdani wale Wakf State ko hi numayindagi milti hai, unke mutballi ko milti hai aur use niche walo ko nahi milti hai.

Board ki nigrani ki wageyr mutballi Tennessee Agreement na kar sake. Mera manna hai ki agar hukumat mein zarasi bhi nekniyati hoti toh in saari sifarishat per ankhe bandh karke amal kar liya jata. Jis tarha Select Committee ne 22 meetings ke baad 35 sifarisht ki reports sawpi hai, iss izhar ke liye toh kaafi hai ke hukumat ke niyat mein kahi na kahi khot hai. Ayesa lagta hai ke azadi ke 66 saal baad bhi mulk ke 5 lakh Wakf jaydad kahe rahe hai ki “khakh ho jayenge hum, tumko khabar hone tak.“

Vice Chairman Sahiba, main aapke zariye wazeere mausuf Shri K Rahaman Khan Sahib se mukhativ ho kar bas itna sa hi kehena chunga ki –

“aapne maan mein doobke pa ja surage zindegi, 
tu agar mera nahi banta, na ban, aap na toh ban.“

Shukriya.