Lok Sabha

December 6, 2019

Saugata Roy demands strict punishment for those who commit crimes against women

Saugata Roy demands strict punishment for those who commit crimes against women

FULL TRANSCRIPT

Unnao mein jo ghatna hua uspar maine adjournment motion diya tha. Aapne mujhe mauka diya isliye aapko abhar vyakt karta hoo. Main nahi janta hoon kitne din tak Hindustan ke mahilao par atyachar ka ghatna ghat ta rahega, aur yeh Sadan mein hum usko charcha karte rahenge. Mujhe sharmindagi mehsoos hota hain.

Hindusthan ki Sangsad mei yeh charcha hota hani, jab mahilao par atyachar ki ghatna akhbar par first page mein aa jatey hain, political log hone ke nate usko humein uthana parta hain, aur yeh batana parta ki jahaan par ghatna ghat ta hain waha pe rajya police ka, prashasan ka kami reh gaya.

Iske pehle bhi Unnao me ghatna ghati thi aap jante the. Fir wohi Unnao mein ek mahila ko, jo rape victim hain, zinda jalane ka koshish kiya gaya. Usko air ambulance se Delhi laya gaya, aur woh Safdarjung Hospital mein ladai kar rahi hai bachne ke liye.

Maine pehle din bhi jo bola tha ki yeh rapists ke sath hi sath, jaldi mrityudand dene ki abashyakta hai, abhi bhi House pe charcha hua ki Nirbhaya kand me jo log the usko abhi bhi fansi nahi hua. Saat saal bit gaya, hum kadi se kadi saza dene ka prabandh kiye they. Justice delayed is justice denied.

Aaj Hyderabad mein jo accused the unko goli se ura diya gaya, police bolta hain ki encounter hua. Maine dekha ki Facebook pe bohut log prasangsha kiya. Main koi encounter death ka samarthak nahi hoon. Lekin aaj logo ke man me yehi hai, log kehte hai yeh rapist ko lynch karke maar dena chahiye aur encounter karke maar dena chahiye.

Agar humein desh mein kanoon ka shashan ko pratistha karna hai humein dikhana padega ke hum rapists ke khilaf kadi se kadi saza jald se jald dila sake. Main aapse appeal karta hu ki Sangsad mein aap mantri ko bulake kanoon ko aur kada karne ko aur expeditious trial aur uska disposal ka intezam kare.

Dhanyabad.