December 12, 2019
Saugata Roy speaks on The Central Sanskrit Universities Bill, 2019

FULL TRANSCRIPT
Sir, aapne mujhe bolne ka mauka diya isliye dhanyavaad. Aap bahut bade surgeon hain aap mere speech pe katauti mat kijiye.
Sir, pehli baar main Sarkaar ka laya hua Bill ko samarthan karta hoon, The Central Sanskrit University Bill, 2019. Yeh Bill tayyar hua tha pichhle chunav ke aage, 2019 ke shuru mein. Us samay chunav aa gaya isliye Bill pass nahi hua. Abhi Nishant ji laye hain, naya HRD Minister. Ismein teen naya Sanskrit University banega. Teen university deemed university, do Delhi mein hai aur ek Tirupati mein hai. Yeh abhi full-fledged central university banega. Isko main samarthan karta hoon.
Sir, aapko shayad jaankari hain ki desh mein 41 kendriya vishwavidyalay hai. Sir, I will remind you that when the first atomic bomb explosion was carried out, Dr Oppenheimer was cheif of the project as a nuclear physicit. When the mushroom cloud formed above the desert of Texas, he quoted the Gita saying that it looked ‘brighter than a 1000 suns’ where in the ‘Gita’ they describe the great almighty.
Main isko samarthan karta hoon. Humare desh mein teen deemed university tha aur 12 state university hain. Iss mein humare Bengal mein bhi ek Sanskrit College University hain. Pehli baat teen university, kendriya vishwavidyalay ka maryada isko mila, isko pura samarthan karna chahiye.
Delhi mein humare jo deemed university hai uska kaafi campus hai, first schedule mein diya hua hain: Jammu & Kashmir, Uttar Pradesh, Karnataka, Rajasthan, Odisha, Kerala, Madhya Pradesh, Maharashtra, Tripura, Uttrakhand unka campus hai. Is Bill ka samarthan hona chahiye, Sanskrit ki padhai aage badhana chahiye. Post graduation, post-doctoral research hona chahiye.
Main kuch baatein Sanskrit ke barein mein kehta hoon. Yeh saaf hain ki Hindustan mein do family of classical languages hain. Ek hain Sanskrit, hamare Hindi, Bangla sab Sanskrit se ayaa hain. Aur doosra hain the Dravidian Group of Languages, jisme pradhan hain Tamil. Woh bhi 5,000 saal purana bhasha hain and I would ask that like Sanskrit, you should set up a Central University for Tamil also since it is a classical Indian language. Koi jhagra nahi hain. Do alag stream hain, ek Sanskrit hain, ek Dravidian languages ka hain, dono alag se baade yeh hum chahte hain.
Sir, Sanskrit mein bahut saare gyan hain. Sabse bada gyan to hain Ved mein, Rig Ved, Saam Ved, Yajur Ved aur Atharva Ved. Uske baad Upanishad hain. Humare Rabindranath Tagore bahut prabhabhit huye the Upanishad se. Gita hain. Ramayan aur Mahabharat hain. Yeh sab Sanskrit bhasha mein banaye huye hain. Yeh hi hamare Hindustan ka heritage hain. Hindu ho yea Muslim ho, yeh sab log ka heritage hain, to mein dukhi hota hoon jab Benaras Hindu University mein ek Musalman Sanskrit ka Professor hua aur uske khilaf pradarshan hota hain. Hindustan ka heritage mein sab ko hissa hota hain. Hindu, Musalman, Sikh, Christian- sab logoko isme mauka milna chahiye ki koibhi Sanskrit pode, koi bhi Sankrit padai, is mein koi apatti nahi hona chahiye.
Sir, Sanskrit mein purana gyan bhi hain. Charak aur Susruta, hamare purane jo medical science hain, Charak Sanhita. Sir, is Bill ke bare mein bolne ke pehle mera ek prastav hain. Mantri ji, ki aa pisme ek university ka naam ‘Ishwar Chandra Vidyasagar’ ke naam se kadiye. Unka 200 saal pura ho raha hain, aur Ishwar Chandra Vidyasagar sabse bada Sanskrit scholar the. Woh ‘Byakaran Koumudi’ –Sanskrit Grammar ke bade mein banaye the. Pehle to Panini ka tha, bahut kathin tha, usko sidha kadke Ishwar Chandra Vidyasagar ne banaye the.
Ek to Sir misunderstanding huya. Chunav ke pehle BJP-ka ek jalus nikla, Sudip ji ke constituency mein. Amit Shah ji the. Woh log jake kya kiya ki Ishwar Chandra Vidyasagar ka murti tod diye. Jalus se koi bhi kiya hoga. Mamata Banerjee ne phir waha par ek Vidyasagar ke murti lagaye. Lekin jo misunderstanding hua woh dur ho jayega agar Mantri ji Ishwar Chandra Vidyasagar ke naam pe ek university ka naam karde.
Sir, yeh bolne ke baad main kehta hoon ki Bengal mein Sanskrit ka charcha bahut accha hain. Humare Kolkata main, Jadavpur mein, Visva Bharati mein post-graduate department hai, lekin niche Sanskrit nahi padaya jata hain.
Mantri ne uttar diya ki Kendriya Vidyalaya main class 6 se 8 mein Sanskrit padaya jata hain. Main chata hoon ki aap sab Vishwa Vidyalaya main Sanskrit teen saal kam se kam padaya jaye. Yeh kanoon kariye kyunki Sanskrit ka charcha kam hota hai. Sanskrit agar nahi rahega, toh Hindustan ka heritage nahi rahega. Sanskrit ka chinta chatro mein phailane ka zaroorat hai. Aur class 9 se 11 tak Sanskrit ko ek alag subject ke roop main padaya jaye, Madhyamik aur Uccha Madhyamik mein. Yeh bhi mantri ji sara desh ko ek direction dena yeh mera apse namra nivedan hain.
Sir, main chota sa bhashan dunga woh khatam ho jayega. Sir, main toh bachpan se Sanskrit pada. Aur main abhi bhi zindagi main Gita ka slok jo seekha tha us ko leke chalta hoon. Log jab kehte hain, aap itna chilate hain Lok Sabha main kya milta hai, main bolta hoon ke kuch milne ke liya nahi main yeh baatein utha ta hoon… Karmanye Vadhikaraste, Ma Phaleshou Kada Chana… Yeh Gita se maine seekha.
Humara koi nikat aadmi, jab guzar jate hain, main wahan jaake bolta hoon “vasamsi jirnani yatha vihaya navani grhnati naro ‘parani tatha sarirani vihaya jirnany anyani samyati navani dehi”
Humara mulk mein jab itna aara halla hota hai, aaj bhi Assam mein aag jal raha hain, tab main kehta hoon “Yada yada hi dharmasya glanirbhavati bharata. Abhythanam adharmasya tadatmanam srijamyaham”
Haalat khrap hone se koi na koi ayega, jo Hindustan ko bacheyega. Jaise Buddha aaye the, Gandhi ji aaye the, abhi bhi hum chahte hain ki “sambhabami yuge yuge”, phir Bhagwan Krishna ayenge.