Vivek Gupta’s Farewell Speech in Rajya Sabha

FULL TRANSCRIPT

Sir, sab se pehle aapka bahut bhaut dhanyawad jo aapne mujhe is karyakaal mein bolne ka mauka diya. Kuch logon ko dhanyawad dena zaruri hai, Sir, zyada kuch nahin kahunga.

Sabse pehle parampita parmeshwar se shuru karunga. Mera leader, meri Didi, Mamata Bandyopadhyay jinhone mujhe yahaan behja, mujhe yahaan mauka diya, mere parivar ke log, Rajya Sabha mein mera leader, Derek Bhai, mere jitney bhi colleagues hain.

Sir aap, aapke pehle Hamid Ansari ji, Deputy Chairman Kurien Sahab. Jab bhi harsh words unhone kahaan tha but woh harsh words nahi the. Woh strict rehte the time ke liye, hum logon ko dekh ke hi 30 second kum ho jata tha. Secretariat ke jitne bhi log the, security vale, Central Hall mein hum logon ko chai, coffee pilaya; humare LAMP jo humare saath kaam karte the, notice office, question office, bill office, media sabka, aur yahan pe humare ‘lozenge-purna’ hai, Jaya ji unko bhi dhanyawad dena chahunga.

Sir, zyada kuch nahi kahunga. Sir is gate se jab hum log andar aate hain toh karib 130 crore logon ki ummeed aur ashaon ko lekar aate hain. Mujhe umeed hai ki, Sir… mera karyakal khatam ho raha hai par jo mere colleagues yahan reh jayege woh is asha aur umeed ko pura karne ki puri puri cheshta karenge. Unke liye kuch kuch main khali ek nivedan chodke jaa aha hoon ki personal attack aur character assassination yeh dono se jitna dur raha jaye utna acha hai. Hum log yahan rajneeti karne aaye hain, ek doosre ki dushmani, karne nahi aaye hain.

Sir, ek aapka chahida, ummeed hai ki jum log sab chahite hai, magar backbenchers ke liye aapki ek sympathy rehti thi… toh main aapse khali guzarish karna chahunga ki backbenchers ke liye jo sympathy hai usko aap barkarar rakhiyega. Hum log ke prati thoda leniency dikhayega. Aaj bhi Sir, woh hi ho raha hai, jo shuruwat mein bol rahein the unko lamba samay mila aur hum logon ko bola gaya do minute mein sametne ke liye.

Main chahunga ki mere jitney bhi colleagues hai, hum log jitna bhi bolein thoda sa respect deke hum logon ko sun liya jaye. Aur Sir, vachan se ya karam se kabhi bhi maine kisi ko bhi takhleef di toh uske liye main kshama maangta hoon.

Sir, aakhir mein, main bhi culprit hoon, mujhe bhi kabhi kabhi Well pe jana padta hai, kyunki, Sir, vedna aisi rehti hai ya peedha aisi rehti hai hum logon ki usko zaahir karne ke liye humein kabhi kabhi Well mein aana padta hai. Aur jo prjatantra ismein jo gatirodh aa jata hai iske liye main ek pankti main kehna chahunga, ‘dhool chadhi bhi thi magar hum aayna saaf karte rahein’.

Thank you Sir.