July 19, 2019
Sukhendu Sekhar Roy speaks on atrocities on Dalits in UP

FULL TRANSCRIPTION
Thank you, Sir, thank you for giving me the opportunity. Yeh jo resolutions Shri Vijay Pal Singh Tomar ji ne move kiya main antar se uska samarthan karta hoon. Kyunki jo jo mudda unhone uthaya, sabhi ahem mudda hain mere nazar mein aur main sirf ek baat iske saath jodna chahta hoon.
Unhone yahan farmer suicide ke bare mein bola, lekin ek samasya yahan shuru ho gaya, ki dhanbanon ne garib kissano ke zameen cheen raha hain aur uske chalat clashes ho raha hain, hungama ho raha hain. Hala ki hamara Samvidan ki Dhara 21 mein protection of lives and personal liberty nischit kiya gaya hain. Yahan tak Kendriya Sarkar ne National Commission for Scheduled Castes and Scheduled Tribes bhi gathan kiya aur ek Central Act bhi hain – Scheduled Castes and Tribes (Prevention of Atrocities) Act.
Lekin abhi jo haal main dekha desh ke koi prant mein do din pehle – main naam nehi lena chahta hoon – dus Adivasi kissano ka hatya kiya gaya. Unme se saat mard hain aur teen mahilayen hain aur pata chalta hain ki jo dhanvan hain wo gaon ka woh 200 gunda bhara kiya, jinhone beparwah goli chalaya, indiscriminately fire kiya aur uske chalat 10 Adivasi kisano ka nidhan ho gaya aur 21 abhi bhi haspatal mein zindagi se lad rahe hain.
Toh iske bare mein to kuch soch hona chahiye. Is Sadan ko ye gambhirta se charcha karna chahiye. Kisano ka jitney saare samasya hain jaise ki Tomar Ji ne uthaya usko toh main samarthan karta hoon. Lekin beech beech mein yeh jo ghatna ghatte hain, iske bare mein bhi sochna chahiye. Main agrah karoonga aapke madhyam se Sarkar se, ki jaise unhone hamare rajya mein kuch hatya huyi thi aur us baare mein usne ek mahina mein char advisory bheja on Article 355, kam se kam ek advisory to jaaye us rajya mein bhi jahan yeh ghatna ghati hain parso. Ya to phir Adarniya Griha Mantri ji yeh Sadan mein aake kya hua nehi hua iske baare mein kya kya kadam uthaya, National Commission ne kya kadam uthaya, Rajya Sarkar ne kya kadam uthaya, baki kya halat kya hain, kyun aisa huwa, ek bayan to de. Yehi mera nivedan hain aapke madhyam se Sarkar se. Dhanyabad.