July 31, 2019
Khalilur Rahaman speaks on the need for health facilities for labourers in his constituency

FULL TRANSCRIPT
Sir, Jangipur Lok Sabha ke andar shramik-karmachari ka kuch samasya ho raha hai, uska samadhan ke liye aap ke madhyam se bibhagiyo Mantri ji ko anurodh korta hu. Sir, hamare Jangipur Lok Sabha ke andar, aur Mahakuma kshetro me, do power plant hai aur do cement factory hain, 50 se adhik biri factory hain, jiske andar jo shramik-karmachari hain, usko dekhte huye hamare kendriyo sarkar-ne March 2017 ko ESIC chalu kiya. Iss factories ke andar jitney sari karmachari hai, 20,000 se adhik enrolment hai, iska alava unka jo family member hain, 60,00 se upar hain. Lekin Sir, dukh ki vishay hain ki Jangipur mein sirf ek-hi nursing home se tie-up huya hain jahan medical subidha provide karne ke liye very negligible hain. Hum Sadan ke madhyam se Mantriji ko anurodh karte hain ki kam se kam do (2) aur Nursing Home ke sath tie-up kiya jai. Iske sath Sir, hamare zilla me ESIC ka branch office nahin hain ya koi sub-divisional office nahin hain. Jal se jald iska vyavyasthya kara jain, ta ki shramik-mazdoor ko suvidha mile.
Thank you.