Lok Sabha

November 30, 2015

Dinesh Trivedi speaks in Lok Sabha on Intolerance

Dinesh Trivedi speaks in Lok Sabha on Intolerance

Addhyaksh Mahodaya, aapka bahut bahut shukriya. Main aapni party ka bhi shukriya ada karna chahta hun. Mujhse kahagaya ki hamare paas sirf sat minute ka samay hai aur sat minute ke samay main pata nahin…

Is sat minute ke samay mey aise serious mudde par kahan kaisi baat kare. Magar main yeh jarur kahunga ki main aaj thora sarma sa hun. Mujhe bhi parliament mey bahut saal ho gaye hain. Yeh mera choutha term hain. Jab aaiyne ki baat aa rahi thi tab tab main soch raha tha ki aaiyna mujhse who pehli si surat mange.

Madam, yeh pehli si surat keya thi? Yiha gunaho ka lekha-jokha ho gaya. Aapke gunah yeh hai, aapke gunah who hai, aur hum begunah hai. Aaj humne socha tha ki jo baatchit hogi, jo bahas hogi aur aapne jo bahushalinta ke sath yeh disha di thi ki bhaiya, aap aaj job hi kare, lekin is sangsad ki garima ko thoda nazarandaz mat kijiyega. Main is baat ka jikr kuyn kar raha hun? Main is baat ka jir is liye kar raha hun ki pura desh dekh raha hai ki aaj sangsad mey is traf se ya us taraf se aisi baat hogi, dono taraf se ek sur milenge. Kaha gaya hai ki ’sur mile mera tumhara, to sur bane hamara.’ Magar kahi na kahi, mujhe lagta hai ki hum thode besure ho gaye. Yeh aaiyne ka baat ayi hai to desh yeh aaiyna dekh raha hai. Jahan tolerance aur intolerance ki baat aayi hai, main samajhta that ha ki aisi bishay par charcha hogi au raise mudde par baat hogi ki kis prakar se, main rail mantra rahan hun, isliye rail ka jikr karunga ki hum jis patri par chal rahe hain, usi patri par chalet rahe, magar derail na ho jaye.

Kahin na kahin yeh man kar chalna parega, Something has, perhaps, gone wrong. Barna is bishay par aaj charcha kyun karte? Why are we talking about a subject like being intolerant? This is a country of Kabir, Mirabai, Tulsidas, Ramanujam, Rahim, Vivekanand, Narsi Mehta, Sri Aurobindo and Tagore. Mujhe lagta hai ki puri raat nikal jayegi aur baat khatam nahi hogi. Yahi hai hamara parichay, hamara parichay iske sibaye aur kuchh hai hi nahi hai. Vivekananda ji jab aati thi, sabane quote kiya hai, main bhi thoda quote karunga –

“I am proud to belong to a religion which has taught the world both tolerance and universal acceptance.”

Yahi hai hamara asli chehra. Lekin kahi na kahi aaj bahas minority aur majority ke bare mey ho gayi. Mujhe nahi lagta hain ki is par bahas aur charcha honi chahiye thi. Mujhe Wing Commander Rakesh Sharma ki yaad aati hai. Madam aapko yad hoga Wing Commander Rakesh Sharma pahele hindusthani the, jo space mey gaye the, us shay Manoniya Indira Gandhi je pradhan mantra thi, unhone puccha tha – Rakesh ji, aapko Hindushtan kaisa lag raha hai, tab Wing Commander Rakesh ji ne kaha – Saare Jahan Se Accha, Hindusthan humara. Yehi hai Hindustahn ki pehchan. Humein yeh tai karna ki humse galti ho rahi hai yah nahi hor rahi hai? Kya hum nishkarsh par pahuchte hai ki galti nahi ho rahi hai? Sabko library se dastabej mile hai. Jab bhi Sadan mey bahas hoti hai tab library bahut acchi research karti hai. Yahi hum is research paper mey jaye to payenge ki jitney bhi scientists, intellectuals, artistes kah rahe hai, award wapsi ho rahi hai toh kahi na kahi kucch hai. Yadi Aamir Khan kucch kahte hai to who kahte hai, who unki baat hai. Aap uska matlab yeh nahi hai ki hum sabko dusre desh bhej de. Yadi dusre desh bhejte to hai toh who bhi diaspora ho jati hai. Mananiya Pradhan Mantri ja kar unhi se mukhatib hote hai. Yadi sabko Pakistan bhejenge toh do Nation Theory fir se One Nation Theory ban jayegi. Kitno ko bhejenge?

Mahodaya, kyunki mere pas samay jyada nahi hai, isliye sankshep mey moti-moti baten kahna chahta hun. Aaj yadi Aamir Khan kucch kahte hain toh uskamahatwa kam hain lekin yadi koi sangsad kuchh kahta hai toh uska bahut bara mahatwa hota hai. House mey privilege hai. Aaj magazine ki baat kahi gayi ki yadi usne galat likha hai to privilege ka mamla banta hai. Aaj House ki garima ka sawal hai, Aap dekhe ki kaise-kaise shabd, ashabd ka upyog House ke barein mey hota hai. Mein unko jimmedar nahi thaharana nahi chahtahun. Abhi, kal ki hi baat hai, dopeher ki karib do baaje the, mein FM India shun raha tha. India jockey kah raha tha, tamasha nam ki film aayi hai, agar aapko who film dekhne bahar nahi jana to aap television khol lijiye kyunki parliament toh sabse bara tamasha hai. Jab yiha atankbadio ka hamla hua tab security forces takat ke saath lad aur shaheed huye the. Main bahut se logon se sahmat nahi hun, jo kahne lage the ki aaj sandad mey bahut dikhad ghatna huye ki ek bhi sansad nahi mara gaya. Yeh humara reflection hai. Is liye hum yeh tai karna hai ki hum chingari se aag lagayenge ya aag ko bujhayenga? Kahte hai:

“ Chingari koi bharke to sawan use bujhaye,

Sawan jo aagan lagaye toh use kau bujhaye?”

Yeh bahut bara desh hai aur is desh par hum sabko naaz hai.

Madam, pura bishwa aaj taklif mey hai aur uska usko rasta dikhanewala Hindustan hai Hindustan yadi kahi dagmaga gayaaur is sakkar may hum par gaye ki yeh minority hai, yeh majority hai tahta Hindu dharm ek aisa dharm hai jise mein kahta hun ki yeh physics, chemistry aur maths hai. Yeh pure science hai aur pure science sabko lagu karti hai. Newton’s Theory ek mazhab ya mazhab ko laghu nahi karti hai. Sab mazhab ko lagu karti hai. Isliye aapaka chahe swacchh Bharat ka aviyan ho jo ki bahut accha aviyan hai, lekin aviyan tabhi safal hoga jab hamare bichar swacchh hogeaur iske liye bahut jaruri hai ki hum saath milkar kahi na kahi garibi ke khilaf nade kyunki garibi se hum tolerance nahi ho sakte.

Madam, Gandhi ji jo jo tolerance k eek bahut bare pujari the. Unhone aapna ‘Chaurichora’ ka andolan stagith kar diya jiske liye kitne log saheed huye. ‘Chaurichaura’ ka andolan sthagit isliye kiya gaya ki 25 sipahiyo ko zinda jala diya gaya, unhone yad karte huye ki mujhe aisa andolan nahi chahiye jaha violence hai. Humein kahi na kahi sochna hoga aura pas mein milkar garibi ke khilaf larai larti hogi jiska abhi Pradhan Mantri ji ne bhi jikr kiya ki aise garibi se ladai nahi ho sakegi jab hum divided hai. Aaj sham ke bad jab hum ghar jate hai to message kya jata hai?

Are we united or are we divided? There is nothing wrong. Difference does not mean defiance. In democracy, there has to be difference. Otherwise, there will be a one-party Government. But on certain basic structures like drinking water, like poverty, like law and order, like defence, I do not think there could be any other view than making sure that we fight for it.

Madam, I still have a lot of hope that outside, this country is certainly very tolerant. I will not accept that this country is not tolerant. We had tolerated for years and years and years together a lot of things. We belong to a country of Gandhi. And that is what Mahatma Gandhi had taught us, and a lot of leaders had taught us. I am not going to give a sermon because – uske kabil toh mein nahi hum agar yeh hai ki –

“Majhab nahi shikhata, aapas mey bair karna,

Hindi hai hum, bachan hai, Hindustan humara.”

Madam, before you stop me, I again want to thank you very much for giving me this opportunity.