July 14, 2014
Dinesh Trivedi speaks on Rail Budget | Transcript

Trinamul Congress ka mein bahut bahut abhari hun, aur abhi charcha ho rahi thi, desh ko jodne ki baat. Aur yadi dekha jaye, yadi hindusthan ka koi bhi sar parichaye hai, to hindusthan ke teen parichaye hai.
Ek toh maa ganga jiski baat hum sab hamesha karte hai, jo sab jagah hai, aur dusra hai Himalaya. Kya aap Hindusthan ki kalapana kar sakte hai Himalaya ke bagayer? Kya aap Hindusthan ki kalapana kar sakte hai Ganga ke bagayer? Issi prakar kya aap Hindusthan ki kalapana kar sakte hai rail ke bagayer?
Hindusthan ka aaj Himalaya bhi ro raha hai, ganga bhi ro rahi hai, aur rail bhi ro rahi hai. Aur is rail ki aasun pochne ke liye hum san ka prayas hai aur shurwat mein toh mein Sadanand Gawda ji ka bahut hi abhinanadan karunga aur pichle itihas mein thoda sa jaunga kyunki mera aur Sadanand Gawda ji ka parichaye kafi purana hai unki muskaan bata rahi hai. Toh kyunki angrezi mein anuvad shayad unko karna pade toh mein angrezi mein uska visheshan karunga.
That my relationship with the Honourable Minister Sadanand ji goes very back we were like parallel two railway lines our naseeb were like two parallel lines we were going together but never met. We were neighbours in south avenue for a long time he became the Chief Minister of Karnataka I became the Railway Minister, look at the fate of both of us, as luck would have it and for good reasons, he was removed from Minister of Karnataka I don’t want to get into those backgrounds otherwise there is going to be shouting here, and I also had to, also had to resign for some good reasons for party discipline, he became, he became because you see we all are with our party and our party discipline becomes much more than individual, he has faced that and he won the elections in the Lok Sabha, I also won, he has taken.
At the end of the day let’s understand one thing very clearly, whether it is Sadanand Ji, whether it is you or whether it is me, we have all come because of the party sangathan it is because of the party discipline, so on those things we have to abide by the distract and the discipline of the party, and since you have brought the subject Mamata Ji has been absolutely pro poor and I don’t want to get derailed so let me come to the rail I hope once and for all that debate would be over. So as I was talking about Sadanandji that we have gone parallel and I am so very happy.
Mujhe badi khushi ho rahi hai ki there could not have been a better person a very transparent person and a very sincere person to become the Minister of Railways. Toh my compliments to him and I do hope that he would live upto the aspiration of the people. So before I, aapke upar, hum, humari jo tripani kar rahe hai uske upar bahut hi constructive ek soch hai, unhone apne shuruwad mein yeh bataya aur aage bhi aane wale din mein unko yeh pata chale ga ki kya hai aur unki speech mein bhi unhone bataya ki jab hum rail mantra nahi the tab humari bhi bahut demands thi jab hum bhi sochte the ki yeh kar denge who kardenge aisa kardenge waisa kardenge par jab hum rail mantra bane humein pata chala ki yeh kitna kitna difficult kathin kaam hai. Bahut kathin kaan hai, bahut bahut shukriya. So sir certainly inke piche sab padenge sansad, humein pata hai kaisa hota tha, unhein ek mahine mein anubhav ho gaya hoga sach maniye toh yeh sansad sab aate hai aur yahan tak ki hum jab gusalkhane mein jaate hai na unko bhi anubhav hogay wahan bhi aate hai, kyun aate hai yeh sansad kyun aate hai? hum wahan bhi jaate hai toh intezaar hota hai yeh sansad ek chitti ek overbridge, ek nayi rail line, ek conversion of gage, ek humari koi kisiki bahut asuvidha hai uski transfer, yeh sab sansad kyun aate hai.
Apne liye aate hai kya, they don’t come for their own personal work. They and mainly member of Lok Sabha jinhone chunav lada hai unhe yeh pata hai ki public ki demand kya hoti hai. Aur sir mein yeh kehna chahungi ki humare yahan sirf chaar demand hoti hai. Aur yadi koi asamarth ho toh humein bataye. Aap koi bhi kshetra mein chale jaiye, pehli deman hogi humein paani, peene ka paani jeene ka sadhan, dusri hogi humein sadak chahiye, sadak. Teesri hogi bijli ki. Aur uske baad hogi rail ki patri ki. Yadi mein galat hun to bataye aapko bhi yahi demand aapke kshetra se milege ki bhaiya humari gaye charne jaati hai, rail ki patri se hum ja nahi sakte hai, humein yahan ek level crossing chahiye, overbridge chahiye underbridge chahiye. Accha yeh bataye? Kya who bhi jo sab mang raha hai apne liye mang raha hai, MP apne liye kabhi nahi mangta hai. Hum jan prati nidhi hai, aur jan prati nidhi hone ke karan yeh jo pressure aaraha hai logo ka, humare bhaiyi behen yeh koi bahar se nahi aaye hai, yeh humare log hai aur unki maang vyapak maang hai, all their demands are absolutely genuine.
Ab aap hi batayi bastar ke log, Sir mere paas bastar ke log aaye the, us ilake ke log, aur bahut hi gusse mein the, kareeb 500 log aaye the, thi aap kya samajhte hai humara hissa Hindusthan ka hissa nahi hai kya? Aur kuch mahilayen wahan ro rahi thi ki jab hum wahan dilli mein aapke paas pehli baar aaye toh rail ka dabba dekha tha. Humne rail ka dabba dekha nahi tha, toh aap yeh bataye ki humare bastar ke ilake ya pichre ilake, unko humari akansha nahi hogi? Humari jungle mahal ki baat kar lijiye. Jungle bhai ek aisa ilaka tha, humare dost Salim bhai yahan bethe hai, ki wahan log bilkul trahiman hogaye the. Aaj humein yeh kehne mein bahut khushi hogi ki humari doctors Uma Soren us ilake se aati hai, bullet ke dwara nahi, ballot ke dwara shantipur with love and affection. With development Mamata Ji has won their heart and today Jungle Mahal is smiling and Jungle Mahal is peaceful. Iski wajah kya hai sir, iski baat mein kyun kehna chah raha hun, mein isliye kehna chahta hun ki bhayi yadi aap kahe rail commercially viable nahi hai, bhaiya aapka defense kaunsa commercially viable hai? Yeh puchna chahunga ki aapka kaunsa ki aapka paani ka kaunsa project commericially viable hai, aur aap batayiye ki aap jab college ya school kholte hai toh commercially viable hota hai? AAp yeh bhi batayi ki aap jab rasta banate hai aap yeh bhi sochte hai ki yeh commercially viable hai ki nahi? Toh yeh jo maap dand hai na ki yeh commercially viable nahi hai, humare samaye mein kya hota tha, aur yeh planning commission ka dekhiye ki kabhi nayi line aati th, humari sansad humari sansad ki sabhi pidhaye ek hi hai ki humein yeh line ki avyashakta hai hum ja hi nahi sakte, garib aadmi hai, ab usko aap batayi bhayiya ki yeh commercially viable nahi hai, toh who kahega ki thik hai jo karayega usko hum chunk ayenge.
Toh yeh commercially viable ki line ka shurwat hoti hai na sir toh usko planning commission mein diya jata hai, aur planning commission pata nahi apna kya planning karta hai aur kehta hai ki yeh viable nahi hai aur yeh nahi ho sakta hai. Aur Rail Mantri ko jawab dena padta tha us MP ko ki bhayiya yeh commercially viable nahi hai, toh mein rail mantra ji se kehna chahunga ki humare samay mein humne yeh pratha bandh kar di thi. Humne planning commission ko kaha tha bhayiya ap hi nipatiye MP se, aap hi unko chitthi likhiye jo likhni hai, par mere yahan Mamata Ji ne humein sikhaya hai ki Hindusthan ek social state hai yahan aaj bhi charcha hoti hai ki 30 rupaye mein ek garib ji sakta hai ya 32 rupaye mein ji sakta hai, aaj who do waqt ki roti nahi kha sakta, aap usko agar commercially viability ka sawal sikhate hai toh mein samjhta hun ki who uspe bahut nayansafi hogi, desh pe bahut nayansafi hogi. Pehle toh, hum iska map dand bilkul hata de toh kya hota hai? Aaj humari chavi kya hai, aur vastavik roop mein kya hai, Railway mein subsidy ji ko baat karte hai na sir, Railway ek vibhag hai jahan ameer garib ko subsidize karat hai. Yeh mein kyun keh raha hun? Kyunki aapka job hi fare aata hai, aapka job hi bhada aata hai who general dabbe se aata hai, 93% aapka aamdani hota hai who garib se. Aur us garib ko kahoge viable nahi hai aur Sir yeh paisa kahan jaata hai? Yeh paisa aap Sadanand Ji jaata hai (break) Raj(break) mujhe use koi pareshani nahi hai, mein complain nahi kar rah hun, who jaata hai Rajdhani mein, Shatabdi mein aur humne bhi socha tha hum wifi lagayenge, hifi lagayenge koi galat baat nahi hai, par aapki prathamikta kya hai? Kya hai prathamikta, aap yadi prathamikta nahi dekhenge ki who garib humlog to safar karte hai, kabhi humko Kashmir jaana hota hai kabhi humko chhutyon mein Gua jana hota hai, par who garib lachari mein safar karta hai. Uska safar lachari mein hai, kya aap usko bologe ki aap safar nahi karoge? Yeh commercially viable nahi hai, desh ko aapko bachana hai toh aapko yeh sab nahi karna padega kyunki jab jodne ki baat aati hai humne ek kavita, humare budget ke bashan mein kahi thi mein dauhraha chahta hun. Aur who yeh hai –
“Desh ki rag rag mein daudti hai rail
Desh ki rag rag mein daudti hai rail
Desh ke ha rang ko jodti hai rail
Dharam jaati Paati nahi janti hai rail,
Chote bade sabhi ko apna maanti hai rail”
Yeh Hai apni rail ki takat Sir, aur yeh rail ki takat humien kisne di hai? Hum jab Mantri hote hai tab hum samajhte hai ki yeh takat humne di hai, magar yeh takat us garib gangman ne di hai. Humare rail ke itne saare karamchari hai, humare rail ka itna bada parivar hai sir, abhi yeh rail sangathan chal raha hai unki itni lachari hai, aur yadin aap yeh aakre dekhe na, toh zyaada se zyaada maut, zyada se zyaada toh nahi kahunga par kaafi maut rail karamchari ki hoti hai, who apne jaan pe khel jata hai par who rail ko bachata hai. Toh aaj jitni bhi uplabdi hui hai, mein kehna chahunga ki aap abtak ki kamyabiyon se tumhare naam karta hun, (break) ab tak jitni kamyabiyan hui who tumhare naam karta hun hare k ki lagan ko mein jhuk ke salaam karta hun. Yeh hai humare rail ke karamchari aur yeh rail ke karamchari itne honhar hai, ki hum humaesha baat karte hai ki China ki railway aisi hai, China ki railway waisi hai, aur aapko pata hai kitne paise China rail deti hai, sarkar deti hai Sir. Hum yadi 10 ya 12 Billion US dollar dete hai, 10 ya 12 outlay, Chinese ka outlay hai 16 Billion US dollar, aur agar yeh hum compare karte hai toh humari chavi kya hai? Hum ek bahut dilchasp ghatna batana chahenge aur who ghatna yeh hai ki James Bond ki picture ki ek shooting ho rahi thi, aur shooting ke dauhran humein contact kiya gaya Danielle Greg, aur unki office se call aya ki hum Hindusthank ki railway mein shooting karna chate hai. Who picture relase bhi hui uska naam tha Skyfall. Toh humne 3 sharte rakhi, 3 sharte kyat thi? Ek sharth yeh thi ki bhayi rail dabbe ke chat par musafir sawar hote hai who nahi dikhayenge aap. Safety, safety mein compromise nahi karenge, aur teesri humari sharth thi ki James Bond, who thoda mazaak mein tha, par unhone who bhi maan liya, ki james Bond Indian Railway ke liye ambassador ho jayenge. Duniya mein yeh kahenge ki Indian railway is stronger than James Bond. Toh yeh sab sharte unhone maan li par ek sharth nahi maani, aur who kya sharth thi, ki upar dabbe mein jo musafir sawar karte hai ki bhayi Hindusthan mein hum isliye toh aaye hai, that there will be a scene that James Bond is going to fight on the roof of the railways, otherwise why will we come to India. That I said that I will never permit, I will never show Iindia into a poor light but this is a fact. Hum, fir humein yaad aaya ek dilchasp gaana tha chaiyan chaiyan who bhi rail ke roof mein hua, toh humari yeh parichaye hai kya humlog roof mein sawari karte hai? Toh kahin na kahin yeh jo humari sawari hai who hakeekat hai, aur kaun sawari karte hai roof pe? Who fir garib, garib ko jaana hai apni manzil pe. Who bechara naukri karta hai kahin ka kahin, usko apna pet palan karna padega. Toh yeh chavi hum ek taraf se kehte hai, mein koi aapki burayi nahi kar raha hun, abhi hum kuch padhenge usse aapko pata chalega. Ki humein bullet train chiye, har mantra yeh kehta hai ki bullet train chahiye, bullet train mein koi problem nahi hai, par yadi aap 100 storey ki imaarat agar banana chah rahe hai toh uske pehle uski neev, uska foundation zara strong rakhna padega. Sir samay mera zyaada nahi raha hai, kyunki humari party se humare aur ek sansad bolenge, hum bas 5 minute mein apni baat khatam karenge Sir. Sir, aise , ji Sir bahut bahut dhanyavad Sir, nahi nahi who bhi wohi sab aarah hai na, wohi aage badha rahe hai. Yeh do chiz hum batayenge, aapne budget ka humara zikar kiya (background others talking) aapne budget ka humara zikar kiya, Rudy, Rudy (no I am not leaving) I think we are on a very serious talk so I think whatever light part of it is over. You know, you know when you talk about my budget let me give you the facts. I am going to read, (interruption) Sir I am going to read. If you allow me I am going to read. I am going to read something Sir if you allow me Sir, it says it is a anti people budget without taking effective step to ensuring poor people, this announcement( interruption) Listen this announcement has been made for an expensive journey. Yeh kiska bayan hai sir, yeh hai BJP ka bayan. (interruption) Yeh bayan hai humare dost Mukhtar Abbas ka, aur yeh bayah kab aya tha/I am not yielding/I am not yielding, yeh bayan tab aaya tha, (yeh bayan tab aaya tha) jab rail ke bhade humne 2 paise badhaye the, 16 % nahi badhaye the, 2 paise badhaye the. Usko bhi, usko bhi Mamata ji ne nahi maana tha, usko bhi nahi mana tha, Sir yeh mein nahi Manungi, aur mein dusri baat bata raha hun Sir. Aur ek bayan bata raha hun, ek bayan aur bata raha hun, kripya karke sun lijiye, kripya karke sun lijiye aur mein sanjit ki saath saath yeh bayan bata rahu, ki aapne jo rail ka budget badhaya hai, who bahut hi galat kiya. And dimisnishing the supremacy of Parliament aap meherbani karke suniye. Aap yeh (interruption) yeh galat baat hai,Rudy sahib aap suniye. AAp kripya karke suniye. Rudy sahib aap shayad bhul gaye hai ki aap satta paksh mein hai aap opposition ki baat chor dijiye, aap satta paksh mein hai. To ek, (laughs) ek dusri baat kahunga, dusra bayan aaya tha, dusra bayan kya aaya tha? Apne yeh jo bhada banaya hai, who anti poor hai, aur apne jo bhada banaya hai that is before the parliament, and you are diminish (break) diminishing the supremacy of the parliament, aur turant yeh bhada ko wapas lijiye, yeh kiska bayan tha, jo humare bhi dost hai, yeh kiska bayan tha jo humare bhi dost hai, manya us samaye ke Mukhya Mantri Gujarat, aur ab ke Pradhan Mantri, Shri Narendra Modi. Matlab yeh dauhra n, ab kya hota hai ki hum jab is tarah hote hai humari disha ek hoti hai, humara dhyan ek hota hai, humara lagao ek hota hai. Hum jab us taraf chale jaate hai, toh humara pura sharer badal jaata hai, soch badal jaati hai, nazar badal jaati hai, nazariya badal jaata hai, disha badal jaati hai, sab badal jaata hai. Mein, mein, mein samajhta hun ki aisa kyun hota hai, ki aajtak ki jo baate hai, aaj tak ki jo baate hai, wahan se ho rahi hai, aap wahan bethkar uska virudh karte the, aur shayad hum bhi karte hai aur isliye hum kehte hai Rudy sahib ki agar rail ko bachana hai toh ek hi upaye hai, ek hi upye hai Sir, sur mile tumahra aur humara toh sur bane hum sabka, nahi to yeh sab besura hoga, sur mile tumahra aur humara aapka aur humara sur mil jaye toh rail bahut surili ho jaye, toh agar rail ko surili banana hai toh aapko kahin aur nahi jaana hai, (interruptions) nahi nahi, hum sur mila rahe hai, aapko kahin aur nahi jana hai.
Aapko kahin aur nahi jaana hai, aapko kahin aur nahi jaana hai, hum ek pankti padh le Sir? Ab who pamkhti hum padh dete hai, aur woh pankti hai employment ke bare, who dusri ek pankti hum pade who shayad aapko achi lage, aur who hai, aap zara suniyega dhyan se, aap hi ke liye hai yeh, aur who hai ki, 6 corridors have already been identified for technical studies for setting up high speed rail corridors. These are, Delhi-Chandigarh-Amritsar, Pune-Mumbai-Ahmedabad, Hyderabad-Dwarka- Chennai, Howrah-Haldia, Chennai-Bangalore, Delhi-Agra, Varanasi. Yeh kya padh rahe hai hum pata hai, yeh hum aapka budget nahi padh rahe hai, yeh Mamata Banerjee ka vision 2020 padh rahe hai.
Aur yeh kehna chahenge, yeh kehna chahenge, Sir yeh kehna chahenge, ki humne har disha mein har prant mein har jagah mein humne dekha hai, aur aisa koi prant nahi bacha tha, aisa koi Hindusthan ke kone mei, koi kona nahi bacha tha, jahan humlog ne, humlog ne means is Parliament ne, Mamata Banerjee ho, ya hum ho, humne sabne dekha tha rail, Hindusthan aage kis prakar badhe. Toh yahin vision hai, ek to h yeh hai Mamata Banerjee ka yeh vision 2020 hai, us vision 2020 mein kyat ha ki we want employement oriented growth, employement oriented growth yadi nahi hoga Sir toh Hindusthan mein bahut hi mushkil ayegi unhone bahut saaf lafzo mein kaha tha. Railway as acatalyst of employement of a large scale of employment oppurtunities. Pehle hota tha employement led growth, usmein hota tha growth hota tha emploement nahi hota tha, par jo baat ho rahi hai woh employement oriented growth, wohi disha di thi yeh vision 2020 document ne. Yeh mein aaj ki baat nahi kar raha, jab mein Rail Mantri tha tab kaha tha ki yeh sab basic document hai. Toh mein kehna kya chah raha hun ki Sir aaj agar aapko railway ko bachana hai Sir, toh uske 3 hi tarike hai, who tarike kya hai sir, who tarike yeh hai ki kahan sa aata hai, paisa kahan se aata hai, yaa toh aapka budgetary support sarkar degi, aapka internal revenue generation hoga, aapka joh udhar le aap ek jo hote hai national project wahan se aayega, kul sab milakar paisa aapko aap yeh samajhte hai rail apne aap mein saksham hogi, apne aap mein pura jo apna rail yeh apna resource generate karegi toh yeh kabhi nahi hoga. Aapko yeh bhi hum batayein chahe who China ho, chahe who japan ho chahe who America ho, jahan jahan rail ki tarakki hui hai, sab jagah sarkar ne paisa diya hai. Basic Gross Budgetary Support, jo humne China ki baat ki sarakar deti hai. Japan mein 6 company hai, niji company jo niji train hai who chalati hai (interruption) Shinkansen jo chalati hai woh kaise chalati yeh, uska basic infratruscture pura sarkar ne diya hai, aur meherbani karke aap railway ko pura alag se mat dekhiye, jahan jahan pragati hui hai, aap koi bhi desh lelijiye, abhi Chin ki baat ho raha hai, Japan, Europe, America, jahan jahan rail ki suvidha aam janta ke liye acchi hai wohi ek civilized country ke layi hai, aur sab jagah Sir, har jagah par, har jagah par, sarkar ne madad ki hai. Aap itne bade rail ko aap lawaris chor do, aur keh do commercially it is not viable mein kehna chahunga ki aaj samay aayahai, mere saath bhi sarkar ki ladayi hui thi. Us samay Vitta Mantri the hamare hon. President. Maine Manmohan jee se jhagda kiya, kahaan ki Sir aap rail ke liye paise nahi denge?
Twelfth Five Year Plan envisages one trillion US dollar in infrastructure. Out of this one trillion dollar, 50 per cent will come from Government and 50 per cent will come from private sector. Yadi hum one trillion dollar ka 50 pratishat lete hain, toh us samay 50 lakh crore hota tha. 50 lakh crore mein Railway ka 10 pratishat yani 5 lakh crore na de toh planning ka matlab kya hai? Yadi 5 saal ki baat karein toh 50 hazar crore per year you should get. But what is the Railways getting?
Sir, now the time has come where we have to see either the Railways as just a mode of poor man’s transportation from point ‘A’ to ‘B’, or as something which will add two and a half per cent to the GDP. I tell you with all my authority under my command and whatever little knowledge I have learnt from the Railways, it is not very difficult to get the Railways going. Unless and until the Government of India comes forward and gives that kind of support, it will never ever be viable. It will never add to the economic growth of the country. So, that is why, let us all together put our heads in that way.
I also want to add that you must make amendments to the dedicated freight corridors. Why I am saying this because you said that you want the best freight-halt railways. It can never happen unless and until you have more powerful engines. Today what engines we have cannot even compare to any other country. They are at least seven times more in terms of capacity; every third wagon has an engine; and their trains are much longer. That is why, even to control inflation, you have to have robust freight movement.
Manzil abhi dur hai aur rasta jatil hai,
Kandha milake saath chale,
Toh kuch mushkil nahi hai
Saath milkar jo hum patriya bichayenge
Toh raste saare khul jayenge…
Thank you so very much.