Md Nadimul Haque speaks during Question Hour on the condition of Urdu schools

Sir, before I ask my question I would like to say that all parties have given a notice for Short Duration Discussion on the new Education Policy. That should be taken up on Monday.

Now, Sir, my question is, jab Urdu ki baat hoti hain wahi Mirza Ghalib ka naam aata hain. Humlog sab Ghalib ko pasand karte hain lekin 1969 mein jab Ghalib sakribad manayi ja rahi thi, us waqt Sahir Ludhiyanvi ne kaha tha, “Jis ahd-e-sihasat ne zinda zaba kuchli/ Us ahd-e-sihasat ko mehrumo ka gham kyun hain/ Ghalib jis se kehte the Urdu ka hi shayar tha/ Urdu pe sitam dhakar Ghalib par kalam kyun hain.”

Sir, aj bhi laghbhag yehi halat hain aur yeh sautela suluk jari hain. Mera sawaal hain ke kisi bhi zabaan ko bachane ke liye zaroori hain ki usse rozi roti se jora jaaye. Lekin sarkari aur sarkari tawun se chalne wale Urdu-medium school-o ki poore mulk mein bahut boori halat hain. Ek taraf un school-o mein teacher-o ki jagah khali hain aur doosri taraf un khali asamiyo ko sirf SC/ST umeedwaro se hi poorkh kiya ja sakta hain.

Sir, beshtar SC/ST umeedwar Urdu jante nahin hain aur aur jo log Urdu se wakib hain unki yeh naukriya nahin mil sakti. Aisi soorat hal-po-hal karne ke liye Mantri Ji kya karenge?