Deputy chairman saab, aapka bahut bahut dhanyavad kuynki aapne ye mauka diya hai yaha khade hoke bolne ka.
Sir, ek chhatra hai, Najeeb, jo kayi mahino se lapata hai. Mera Zero Hour uske bare me hai. Najeeb ka matlab hai woh jo sarahaniya hai. Lekin Najeeb ke mudde pe JNU mein jo ho raha hai woh sarahaniya nahin hai. Warden ke report ke mutabik ye ghatna ghati 14 October 2016 ko, jis mein Najeeb aur kuch chatron shamil the. Woh chatro kissi rajnaitik dal se sambandh rakhte the, main uska naam nahi lena chahta hoon, aur waha ek jhamela hua.
Sir, wahan students, security guards, warden-in-charge, sab ne isko dekha aur iska report di gayi. Magar ashcharya ki baat ye hai ki Vice-Chancellor se le kar jo bhi adhikarik is university ke hai, kissi ne bhi is par koi action nahi liya. FIR bhi darj karne ke liye ladke ka Maa ko jana pada.
Sir, iske pehle ki sarkar bole ki ye university ka antargat mamla hai aur hum is mein hastakshep nahi karte, mai batana chahta hoon ki law and order sarkar ka mamla hai. Dilli ka law and order Kendra ka mamla hai.
Kya hum Najeeb ko sirf ek gumshuda statistics banne denge? Main kendriya sarkar se janna chahunga, aapke madhyam se, ki Najeeb ko khojne ke liye kya koi special prayas ki gayi hai? Ya ki woh sirf ek absent student jaise reh jaye ga? Jabki yeh clear cut political vendetta ka case hai aur hum dekh rahe hain ki kis tarha desh mein political vendetta cancer ki tarha fail rahi hai.
Agar sarkar mein koi hai toh unki toh prayas ye hona chahiye ki Najeeb ko kaise jald se jald khoja jaye, unke logon ke saath baat kiya jaye aur uski Maa ke sath baat kiya jaye. Ascharya ki baat ye hai ki Vice Chancellor ne uski Maa ke sath milne se mana kar diya hai. Sir, agar un mein samvedna nahi hain, woh to kendriya sarkar jaga sakti hai.
Sir, mera aapke madhyam se yeh hi request hai ki sarkar is pe koi uchit enquiry karaye, pata toh lagaye ki Najeeb ke gumshuda hone ke peeche ye kya karan hai. Mazein ki baat ye hai ki jo Akhil Bharatiya Vidyarthi Parishad is mein involved hai unse puchtach bhi nahi ki gayi. Agar unka koi special status hai toh ye bhi hum log ko batana chahiye.
Sir, ye political vendetta bada issue hote jaa raha hai. Main aapke madhyam se kendriya sarkar ke dhyan mein lata hoon ki ispe dhyaan dena chahiye, ispe uchit karvahi kiya jaye aur uchit statement diya jaye humein ki political vendetta par sarkar ka kya roop hai.
Dhyanyavad.