Vivek Gupta speaks on Benami Transactions (Prohibition) Amendment Bill, 2016 | Full Transcript

Sir, pehle main aapko dhanyavad dena chahta hoon mujhe is Benami Bill par bolne ka mauka dene ke liye. Bolne se pehle ek purani Hindi film se do line sunana chahta hoon. Yeh sarkar shayad yeh hi khojne ki cheshta kar rahi hain:

Gumnaam hain koi benaam hain koi

Kisko khabar kaun hain woh anjaan hain koi

Sir, aj main khara hua hoon Bill ko support karne ke liye. Sarkar ka kale dhan ko wapas karne ke liye sarkar jo bhi kanoon banana chahti usme hum log hamesha saath the aur rahenge. But, Sir, kuch baatein dimag ke samajh main nahin aa rahi. Mein aap ke madhyam se mananiya mantra ji se clarification chahunga.

Sir, yeh ek proven fact hain ki 1% se kam abaadi jo hain yeh crimes commit karti kale dhan wale. Magar kanoon aisa banaye jaata ki 99% ko takleef ho jati hain. Main udaharan de ke bataunga. Is benami kanoon mein yeh kaha gaya hain ki kuch mahino main ya kuch dino mein aap ko bata dena hain ki benami hain ki nahi hain. Sir, ek hamara fauji hain, woh Kashmir mein jang lar raha hain, woh jang chor ke wapas aayega batane ke liye ki yeh property benami hain ki nahin?

Sir, criminal court mein bhi, CPC mein bhi 7 saal tak kisi bhi aadmi ko gumshuda nahin mana jata hain. Toh, Sir, yeh kis kanoon ko hum mane; alag alag kanoon mein, Sir, alag alag pravdhaan hain. Inko agar clarify karke ek jagah ek kanoon kar diya jaaye.

Thodi din pehle Sushma Ji bata rahi thi ki hazaron log Saudi Arabia mein phase huye. Ab jab tak woh wapas nahin aayenge, toh unki property yahan koi na koi benaam bata kar harap dega. Sir, unki madat kaise ki jaaye us bare mein hum logon ko sochna chahiye. Jabhi bhi iske rules bane, aisa pravdhaan hona chahiye ki jo log kisi bhi karan se do do teen teen saal bahar rehte – kaam ke liye rehna parta, kisi ko ilaaj ke liye rehna parta, kabhi koi kisi cheez ke liye rehna parta hain – toh unko unnecessary takleef yahan par nahin ho.

Sir, yeh Bill ki jo bhasha hain, jab humlog parte hain – meri samajh mein jo aa raha wohi bol raha hoon, agar Mantri ji chahe toh correct kar de, ho sakta hain mera samjha hua galat hain – yeh maan liya gaya hain is Bill mein ki jitne land records hain Bharatvarsh mein, sare computerised aur saare up-to-date hain. Matlab sab ko maloom hain sabki zameen kaun kaun kab kab kahan kahan hain, sabka demarcation hua hain. Sir, mujhe toh aisa nazar nahin aata hain. Agar Mantri ji bata de ki saare Bharatvarsh mein sari zameen ekdum computerised, digitised aur saara sab kuch hain, saare land records up-to-date hain, bahut badhiya baat hain. Lekin aisa baat hain nahin, Sir. Aur iske karan bahut baat vivaad hota hain.

Sir, doosra isme yeh maan liye giya hain ki Bharat ki jitne bhi nagarik hain woh kisi na kisi High Court ke aas paas mein rehte hain ta ki koi unki property benaami ghoshit karein aur turant 30 deen ke andar woh pahunch jaaye. Sir, mujhe nahin pata ki log court mein woh adjudication aur court ke prakriya se kaise guzar payenge.

Teesra, isme yeh maan liya gaya hain ki jo babulog hain aur jitne bhi log zimmedar hain, woh jitni bhi shikayetein honge woh ekdam samay samay mitwara kar denge. Sir yahan 3 crore cases pending pare huye hain, woh nahin salat rahin hain, complaints kahan se niptenge mujhe samajh mein nahin aata. Mein aapke madhyam se Mantri ji se puchunga agar woh kuch roshni daal sake toh bahut achha rahega.

Sir, is mein maan liye gaya, Mantri ji ko dhanyavaad dena chahta hoon aapke madhyam se ki unhone known source kar diya. Sir, abhi bhi magar source poocha ja raha. Sir, source mein ek basic problem aa rahi ki bahut saari sampatti hum logon ko paitrik milti hain – hereditary, jo generations se pass-on hoti hain. Toh clarifications nahin hain is mein ki woh paitrik jo sampatti aa rahi hain usko known source mein maan liya jayega ki nahin jayega.

Toh yeh sab kahin na kahin, main definition mein ‘of income’ hata diya gaua hain magar baki jagah abhi bhi yeh hain ki mujhe aay (income) se, yeh sampatti maine aapne liye arjit ki hain, yeh nahin ki mujhe kahin aur se mili hain. Sir, git bhi hota, bahut saare hain, toh woh known source mein aa jayega. Main chahta hoon agar mantra ji aapka madhyam se clarify kar de toh aur achha rahega.

Sir, mein kuch logon se baat kar raha tha – khaas kar income tax ke log aur jo law-wale hain – woh bol rahe ki bhai Standing Committee se gaya, sab jagah se gaya, magar hum logon ko bula ke hum logon se koi consultation nahi kiya giya. Sir, yeh dukhat baat hain, nahin hona chahiye tha, Sir.

Sir, kuch jo problems mujhe nazar aa rahi hai is Bill me, woh main aap ke madhyam se batana chahta hoon. Jo dusre logon ne kahaan wo me dohoraunga nahi. Videshi dhan ke bare mein kaha gaya, Sir. HSBC aur kayi log aa aa kar humein information de rahe hai, humhe aaj tak kuch nahi kiya.

Sir, yeh jo Bill hai, yeh 1988 se hai. Aap ke madhyam se yeh jaan na chahunga Mantri ji se ki 1988 se le ke aaj tak kitni benami sampatti ko humne pakra aur kya hua uska kuch ankhre hum logon ko de toh pata chalega ki haa ye kaam karyakar kai. Nahi toh Sir hum log sirf kaanoon banate jayenge aur koi fayda nahi hoga.

Sir, 2008 se organized crime pe jo report hai wo Parliament me pending pari hui hai aaj tak koi  karwahi nahi ki gayi. Us mein pura list diya gaya hai ki Bharat ke alag alag shehron me kaha kaha crime walo ki konsi benami sampatti hai.

Sir, Adjudicating Authority mein, ek income tax officer ko aur ek judge ko barabar kar diya gaya hai. Yeh ho nahi sakta Bharat mein. Isko thik kiya jaye. Is pe koi clarification diya jaye. Sir, appeal ke jo pravdhan hai, usko thik se define nahi kiya gaya hai. Is mein logon ko bahut problems ayegi baad me.

Sir, gaon mein – hum sabko pata hai, kayi log yahaan rural areas se hai – jaha trust nahi hota hai aur waha bank nahi hai. Humein prashno se pata chalta hai ki dur dur tak koi bank aur branches nahi hai. Toh wahan pe cash mein transaction karna parta hai.

Sir, bohot pahele yahaan pe ek proposal aya tha ki DEMAT facility di jayegi, logon ke record electronically store kiye jayenge, woh abhi tak nahin hua, yeh aapko aur humko bhi maloom hain. Gaon mein barh aate hain jis mein log, ghar beh jate hain, usme dalil bhi beh jati hain. Aise logon ko thori rihai honi chahiye, Sir.

Sir, ek hi admi ko alag alag kanoon mein alag alag prosecution hain. Is mein kayi kathinai aati hain. Yeh ek hi admi pe ED, Income tax ek sath toot padte hain aur, Sir ,usko bolte hain original record lekar aao. Woh kisko kisko dega uske bade mein bhi kuch synchronization ho jana chahiye.

Sir, main ye kanun pad raha tha. Main bahut bada vakil to nehi hu, thora sa kanun padke jo samajh mein aaya ke kahi kahi State ke laws ke saath conflict aayega, khaas kar tribal laws ke sath. Sir, is pe dhyan rakha jay, is pe kuch rule banaya hai is ko thik kar diya jaye.

Sir, do-tin suggestion hain. Jaisa ki hamare aur sathi ne kaha hum bhi chahenge jo ki land state subject hain, jab bhi aap confiscate karein, aap confiscate karne ke baad usko state ko handover kar de. Sir, yeh laws simplified bana dijiye ta ki logon ko, humko maloom hona chahiye ke kaun chor hain, kaun sadhu. Isko alag alag kar dena chahiye.

Aur Sir, time limits jo hain usko thoda sa relax kar dena chahiye jaise ki main ne kuch ghatanai bataya hain aapko un sab ke beech mein.

Sir ant mein ek line ke saath khatam kar raha hoon:

Pardanasheen logon ko ab beparda karne ka samay aa gaya hai.

 

Thank you sir.