Saugata Roy speaks during a discussion on the atrocities committed on Dalits in the country

Sir, yeh badi dukhat ghatna hai ki azadi ke 69 years ke baad hume yahaan per Dalit ke upar atyachar ki charcha karna pad raha hai. Aj se 84 saal pahle Gandhi Ji ne anshan kiya tha Scheduled Caste ke separate electorate ke khilaf. Us samay historic Gandhi-Ambedkar pact sign hua. Gandhi Ji apne sara zindagi Daliton ke utthan ke liye, asprishyata dur karne  ke liye aur gau-seva ke liye bitaya. Uske baad jab hamara samvidhan bana – Dr Ambedkar jiske sthapati the – Article 17 mein humne untouchability ko eliminate kar diya. Aur Article 46 mein ‘promotion of educational and economic interest of Scheduled Caste and Scheduled Tribe and other weaker sections’ rakha gaya.

Sir, iske baad 1989 me jab Rajiv Gandhi Pradhan Mantri the ‘The SC/ST Prevention of Atrocities Act’ yahaan par paarit kiya gaya aur 2015 mein isko bohut acha sanshodhan kiya gaya. Toh aaj Dalit par atyachar rokne ke liye kanoon ka koi kami nahi hai. Humara jo ‘Prevention of Atrocities Against SC/ST Act’ hai usme bahut sara kadam lene ka pravdhan hai. Aur Sir, us mein exclusive special court, yeh sab crime ke khilaf, banane ki baat hai. Lekin abhi tak exclusive special court kahin par bana nahi hai. Mai is per aap ka dhyan aakarshan karana chahta hoon.

Sir, aankre zyada dena zaroori nahi hai. Fir bhi mai thode aankre dena chahta hu. 2014 mein Hindustan mein Daliton per atyachaar ka ghatna lag bhag 47000 huya tha. Us mein sab se zyada tha UP mein (8075), Rajasthan mein 8028, Bihar me 7893, Andhra Pradesh mein 4114, Madhya Pradesh mein 4151, Odisha mine 2206, Karnataka mein 2138. West Bengal mein keval 169 ghatnayein hui. Is ka matlab kya hai? West Bengal mein ghatnayein 500 percent kam tha dusre pranton se. Humare wahaan Dalito ke upar atyachar nahin hota hai.

Rajnath Singh ko yeh khabar lena chahiye ki kyun West Bengal mein Daliton per atyachaar ka ghatna itna kam hai, Mamata Banerjee ke sarkar mein? Iska karan humari sarkar aur West Bengal ka sanskritik parampara hai.

Raja Ram Mohan Roy se leke Swami Vivekanand tak sab logon ne samantha ke liye jo baat fehlayi hai the usi ka asar hamare samaj mein abhi hai; is liye humare wahaan na Dalit, na Muslim aur nahi Adivasi ke khilaf atyachaar hota hai. Mai is liye isko political debate ya blame game nahin banana chahta hoon kyun ki jo sab pranton mein Daliton pe atyachaar ka ghatna zyada hua hai us mein Madhya Pradesh, Rajasthan, Gujarat BJP ruled States hai, lekin Bihar mein JD(U) ki sarkar hai, Andhra Pradesh mein Chandra Babu Naidu ki sarkar hai, aur UP me Samajwadi Party ki sarkar hai. Toh main kehta hoon ki kaun sa sarkar hai yeh badi baat nahi hai, samaj mein Daliton ke liye kya bhavna hai yeh hi sabse zaroori cheez hai.

Aaj dukhat baat yeh hain ki Gandhi Ji hamare beech nahin hain, Vinoba Bhave nahin hain. Aise netaon ki bahut zaroori hain jo samaj ko jod sakey. Abhi vote bank ka politics chalta hain. Logon mein vibhajan karte hain, Hindu polarization kiya jata hain aur isi se yeh ghatnayen badte hain.

Rajnath Singh Ji yahan hain. Main unka dhyan akarshan karta hoon. Una mein jo ghatna hua uske aur. Una mein 11 July char Dalit naujawanon ko pedh mein bandh ke belt se mara gaya, lathi se mara giya. Logon ko shayad pata nahin hoga, jo log mara wohi usko internet mein post kar diya. Hum sabne dekha. Lekin iske baad kya hua?

Sara Saurashtra mein bandh hua 20 July ko. Daliton ne bare bare juloos nikale. Lekin dekhiye, Sir, Sarkar kaise chalta hain. Lok Sabha mein jeb yeh baat uthaya gaya, Rajnath Singh Ji bole ki sarkar ne toh jaldi kadam uthaya hain. Lekin kadam kahan uthaya hain? Anandiben Patel ko Gandhinagar se Una jane main 9 din kyun lag gaye? Kyun aap pehle yeh monitor karne ka kohshish nahin kiye yeh sawaal main aap se puchna chahta hoon.

Sir, Gujarat mein har saal hazaron atyachar ka ghatna hote hain. 50 Dalit mahilaon ke upaar balatkar hota hain, aur 20 Dalit Jawan ko haar saal murder kiya jata hain. Yeh agar Gujarat model hain toh mujhe kuch kehna nahin hain. Yehi shayad Gujarat model hain. Sir, lekin yeh intolerance – Daliton ko nahin sehna, Muslim ko nahin sehna – yeh sara desh mein fehlaya gaya hain. Yeh aur kuch jagah humne debate kiya – about the atmosphere of intolerance. Trinamool Congress ke barabar aap kab honge? West Bengal ko dekhiye, itna achha Daliton ka sanrakshan koi nahin karta.

Sir, Muslim log bhi isse mukt nahin hua. Daliton par atyachar hum charcha karte hain, lekin humko yaad hain Dadri mein kya hua. Akhlaq ko mara gaya yeh bol ke ki uske ghar mein beef hain, gau mans hain. Sir, keval yeh hi nahin. Kuch din pehle Kharge Ji ek mudda uthaye they – Madhya Pradesh ke Mandasur mein do Muslim mahilaon par atyachar hua kyun ki bola gaya woh gau mans carry kar rahe the; un logon ne bola ki hamare paas buffalo meat hain, receipt hain, lekin phir bhi unko pita gaya.

Toh, sir, asahishnuta ka vataavaran desh mein ban raha hain. Main sochta hoon ki kyun hamare desh mein yeh vataavaran bana. Sir, 7 August Hyderabad mein humare Pradhan Mantri ne ek bayan diya, ek zaroori bayan. Narendra Modi issued a call to stop attacking Dalits, saying, shoot me if you want, not Dalits, and ask people to be beware of fake gau-rakshaks who have problems with the country’s unity and want to destroy society. Main isko swagat karta hoon. Lekin Pradhan Mantri ko yeh bayan dene mein itna samay kyun laga? 11 July Una mein ghatna ghata aur unko bayan dene mein 26 din lag gaya.

Aur mai ye bhi puchna chahta hoon, ki yeh bayan me kyu nahi bola ki ‘ mujhe maro magar Dalit aur Muslim ko maat maro’, dono hi toh ho jata hai. He left out Muslims, he only said Dalits, kyu. Agar Pradhan Mantri khud marna chahte hai, toh unhe ye bolna tha, ‘Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai/ Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai.’

Pradhan Mantri ke bayan ke ek din baad maine dekha ki RSS ke General Secretary, unka naam hai Bhaiyaji Joshi, une bayan deke Pradhan Mantri ko samarthan kiya. Toh in logo ko laga 26 din bayan dene mein aur tab bhi ghatna band nahi hua. Sir, in Andhra Pradesh, a Dalit was stripped, thrashed, tied to a tree for skinning a dead cow. Sir, yeh Dalit, jo mara hua gau hai uski chamra barabar utarte hai, ye unki profession hai, aur aaj uske liye mara jaraha hai.

Rajnath Ji, aapke ek neta the Arun Shourie, abhi thora out of favour hai. Unhone ek achha bayan diya tha ki NDA aur UPA me koi farak nahi hai lekin NDA is UPA + Cow. Humare Hindustan mein 48 dharaon mein yeh kaha gaya ki state shall endeavor to stop cow slaughter, slaughter of milch animals. Hamare desh ka zyada pranton mein cow slaughter banned hai. Haryana mein das saal jail ho sakta hai agar ko cow slaughter karta hai. Lekin ye issue naye dhang se utha hai. Main kehna chahta hoon ki yeh mindset ka baat hai.

Chunav ke pehle Modi Ji ne bola tha gau-raksha ko lekar UPA ke log kya kar rahe hai. Lekin Modi Ji to abhi Pradhan Mantri ban gaye. Woh to zimedar ban gaye lekin unke jo chela chamche the woh bola ki hum gau raksha suru karte hai aur woh hi maidan mein utre hai.

Toh aaj Modi Ji jab bayan dete hai, Sir, Vishwa Hindu Parishad condemns Modi’s remarks on gau rakshaks. VHP aur Rashtriya Gau Raksha Dal ne Modi Ji ko condemn kiya. Mai toh in logon ko condemn karta hoon aur maang karta hoon Rajnath ji se ki Vishwa Hindu Parishad aur Rashtriya Gau Raksha Dal ko aap baan kar dijiye. Inka koi zaroorat nahi Hindustan mein, aap ke haat me ye hukumat hai.

Ek naya vatavaran banana parega, yeh ho sakta hai ki chunav ke pehle BJP ke log Hindutva ka hawa uthaye the lekin abhi woh hukumat mein aa gaye hai toh zimmedari se kaam karna padega aur desh mein ek sahishnuta ka vatavaran banana parega jahaan hamara Musalman aur Dalit bhaiyon ko suraksha ka chinta nahi ho.

Main Gandhi Ji ko yaad karta hoon. Woh bolte the “always think of the talisman, think of the poorest person you know. And think of your action whether it will wipe the tears of his eyes”.

Main ruling party ke logo ko kehta hu ki aisa kuch kijiye ki Daliton ke aansu pocha jaye. Dalito ko aansu hatane ka kaam kijiye, Hindutva ka baat ho gaya, aaplog hukumat mein aa gaye. Abhi humare samaj ko thanda hone dijiye.