February 9, 2021
Sukhendu Sekhar Ray bids farewell to retiring members in the Rajya Sabha

FULL TRANSCRIPT
Aaj hamare kuch saathi Jammu and Kashmir se retire ho rahe hain, retire ho rahe hain Sadan se. Jaise ki adaraniya Pradhan Mantri ji aur Sharad Pavar ji in logon ke bare mein kaha, mere party ki taraf se mein sirf yehi bolna chahta hu, khas kar ke Ghulam Nabi ji ke bare mein, aaj yadoon ki barsat ho raha hai mehman, kyunki mein unko pahechanta hu 1978-79 se, jab woh Indian Youth Congress ke president the aur mai State Youth Congress ka general secretary tha. Toh bahut dino se mai inko janta hu. Sangathan mein bhi aur sarkar mein bhi inka yogdan, inka karyapadhdati sabka prashansha aur drishti akarsht kiya. Abhi Sharad Pawar ji bata rahe the kitne sare departments ko unho ne sambhala hain, main uss list mein nahin jaunga. Lekin us zamane mein three-tier Cabinet hua karta tha. Cabinet Minister, Minister of State, Deputy Minister. Shayad shuruat hua tha Deputy Minister Law and Justice se, aur uss zamane mein maine vakalat shuru kiya thori din pehele. Bahut saare cheez maine unke saath charcha karta tha, aur Samvidhan ki koi bhi karyakram agar hamara State mein hota tha, toh hamesha hamara saath woh aate the. Bahut kuch yaad aa raha hain lekin samay ki pavandhi hain.
Ek purana gaana ka yaad aa raha hain S D Barman ji ka, jo shayad Majrooh Sultanpuri ji ne likha tha aur gaya tha Mukesh ji ne: O jaane walo ho sake to laut ke aana. Toh aaj jo log hamare yeh se Sadan chodke jaa rahe hain, majburan hain, niyam hain, lekin hamara prarthana rahega, unki party agar soch vichar kare aur phir se dobara yahan bheje, khas kar ke Gulam Nabi ji jaisa Leader of the Opposition maine shayad hi dekha hai. Toh mera yehi prarthana rahega agar doosre kaam mein bhi koi rahein yeh jo saathi \retire kar rahen hai, unka khushal mangal prarthana karta hoon, unke parivaar ke saath unka yogdaan budhape mein thik rahega, yahi maujhe achha lagta hai, mehsoos karte huye mai sabka khushal mangal prarthana karte huye All India Trinamool Congress ki or se aur humare netri Mamata Banerjee ke or se sabhi ko shubh kamna gyapan karta hoon.
Dhanyawaad.