Lok Sabha

February 9, 2021

Saugata Roy speaks on the Motion of Thanks on the President’s Address

Saugata Roy speaks on the Motion of Thanks on the President’s Address

FULL TRANSCRIPT

Pranam Madam,

Mai Rashtrapati Ji ke bhashan ke baad ke prastaav pe All India Trinamool Congress ki or se kuch baatein rakhna chahta hoon.

Main, humare jo dus tho amendments hain, 22 se 31 tak, uska samarthan karta hoon. Main usko move kar chuka hoon. Mere bolne ke pehle Dr Farooq Abdullah sahab aur humare naujawan dost Akhilesh Yadav ji jo bhashan diya unka samarthan karta hoon. Aur Dr Farooq Abdullah ka bhashan toh mujhe rula diya, main unko namaskar karta hoon. Mere paas baithi hui hai Harsimrat Kaur Baadal, jinko himmat tha Mantri Mandal se istefa dene ke liye yeh krishi aain ke upar. Main unko badhai deta hoon. Main badhai deta hoon humare dost Hanuman Beniwal ko jo NDA ko chod diya. Aajkal ek bahumat ban raha hai deshe mein ki jo log Narendra Modi aur unke galat kanoonon ke khilaf hain, ahiste ahiste unke khilaf aayenge. Yeh mera aasha hai.

Madam, aap pooch sakte hain, ki kyun aap Rashtrapati ji ke bhashan ka virodh kartein hai. Aisi baat nahin hai ki mere saath Modi ji ya Amit Shah ka koi jhagda hai. Yeh neeti ka sawaal hai, yeh usoolon ka sawaal hai. Aur main is sarkar ke khilaf hoon kyunki yeh jo kiya hai woh humare samaaj ko vibhajit kiya hai. Yeh jo raaste pe chalte hai woh hamare Hindustan mein jo ekta hain, usko kharab karta hai. Woh jo abrogation kiya Article 370 ko Jammu & Kashmir mein, Farooq Sahab jaise logon ko jail mein daal ke jo kaam kiya, woh galat kaam tha, uska main virodh karta hoon. Jo Citizenship Amendment Act iss House mein paas karaya, jiske liye Hindu Musalman mein vibhajan aa jayega mai uska virodh karta hoon Trinamool ki or se. Yeh divisive agenda hai. Hona hi nahin chahiye hamare desh mein. Yeh main kehna chahta hoon. 

Yahan Rabindranath Tagore bahut logon ne ullekh kiya hai, aur mai khush hoon ki Pradhan Mantri Bangla bolne ki koshish kar rahein hai. Adhir kal mention kiya ki woh bada daari rakh rahein hai ki woh bhi Rabindranath ki taraha dekhna chahte hain. Hamein koi aaptati nahi hai lekin thoda Bangla toh thik se bole. Woh ek gaana hai Rabindranath ka, ‘Ore griho baashi khol dwar khol’, yeh Holi ke samay gaaya jaata hai. Unhone bola ‘ore grohobashi khol dwar khol’. Yeh sab Tagore ke gaane par nahi hona chahiye. Aur Amit Shah jaake bol diya ki Rabindranath Tagore ka janam Shantiniketan mein hua tha jabki hua tha Kolkata ke Jorasanko Thakurbari mein. Toh main BJP ke doston ko bolunga ki yeh sab thik se seekh ke jaiye tabh acha rahega.

Madam, yahan House mein bola gaya, ki mai kisaano ki aandolan ko samarathan karta hoon. Ek simple kaaran ke liye. Mai zyada kisan ke barein mein nahi samajhta hoon lekin yeh samajhta hoon ki agar aap kisan ke liye kanoon banate hain aur kisan usko nahi maan rahein hai toh zabardasti kya hai? Usko utha lo. Din par din, 90 din tak, Madam aap bhi gaon se aate hain, 90 din tak khula aasman ke neeche yeh bachche, budhe, mahilayein, buzurg aur naujawan yahan awasthan kar rahein hai. Yeh kya baat hai? Yeh Pradhan Mantri ki ego ka sawaal hai kya? 

Main samajhna chahata hu kya farak parta hai? Agar woh kehte hain ki hum temporarily isko pratyahar kar lete hain, baad me baatchit kar ke chalu karenge, toh aasman nahin gir jayega. Ye sab zid loktantra mein accha nahin hai. Loktantra mein baatchit karke baat badhana chahiye. 

Aj maine suna ki Pradhan Mantri ek dusre sadan mein Gulam Nabi Azad ko vidah dene ke samay ro diya. Aankh se unka aansu nikal gaya. Mujhe aacha laga ki Pradhan Mantri ka ek hriday hai. To yehi hriday kissano ke liyen kyu nahin hai? 200 kissan waha par mare hai, 60 log atmyahatya kiyen hai, to thora unke liye bhi roiye. Ye mera namra nivedhan hai mananiya Pradhan Mantri se. 

Madam, main baat zyada badhana nahin chahta hoon. Accha hai ki Pradhan Mantri Netaji ke janamdin par Kalkatte gaye the. Dukh ki baat ye hain ki wahan pe jab bol rahi thi Mamata Banerjee, kuch log Jai Shree Ram nara uthaya. Mamata ji apni baat nahi boli. Mujhe ye kahna hai ki yeh nara Shree Ramchandra ka bhi apmaan hai aur Netaji ka bhi apmaan hai. Aur aap ke keh rahe hai. Ek accha baat ek admi kal bola ki ye log Netaji ke naam toh lete hai! 

A statement from the joint front of the farmers’ unions said that it is the BJP and its predecessors that never did any andolan against Britishers, and they were always against the andolan. And they are still scared of public movements. Pradhan Mantri bol diya kal ki ye andolanjivi hain. Mere khayal mein andolan ko chhota karna Pradhan Mantri ko shobha nahin deta. Mere khayal me, aap ke purvaj kya andolan karke jail me nahi gaye, Hindu Mahasabha ke log, RSS ke log? Syama Prasad Mookerjee, jiska naam aap log uthate hain, Bangal ke the, shraddhiye admi the, lekin ek din ke liye bhi jail nahin gaye azadi ki ladayi mein. Jo Jawaharlal Nehru ka yeh log charcha karte hai, woh nau saal jail me the. Fark hota hain. Desh ka neta aise hi nahin bante hain. Aur BJP ka koi prishthbhoomi nahin hain, jisko leke woh yeh ladhai kar sake.

Madam, mai aap ko bolna chahta hoon ki 200 log Punjab ke yeh kisan andolan me, Dilli me mar gaye hain. Aur Pradhan Mantri bolte hein ye andolan jivi hain? Ye andolan jivi kahan hain? Ye andolan mrit hain, jo log mar gaye hain andolan ke karan. Inke liye thoda bhi aansu bahaiye, ye Pradhan Mantri se hamare appeal hain. 

Hamari chhoti behen House ke sadasya hain, woh bhootpoorv film actor hain. Woh hamare party ke bhootpurv sadasya bhi rahi thi. Woh kal boli Mamata Banerjee ke khilaf. Boli, lekin yahan par Mamata Banerjee ke nam ya unke bhatija ka naam lena–bhatija to House ke sadasya hain, toh bulaiye unko bhashan dene ke liye–thik nahin hain. Hum Narendra Modi ke family ke bare mein thodi bolte hain? Yeh sab bolna nahin chahiye. Main iska pura virodh karta hoon. Yeh bola ki Amphan ka rupiya chori hua. Mamata Banerjee kal kya boli? Boli ki, the Prime Minister, during his visit to the State after Cyclone Amphan, announced an aid of just Rs 1,000 crore. Mamata Baerjee said she had never seen such a cruel government. We had to spend more than Rs 2,542 crore over and above the last budget to beat the situation created due to Amphan and COVID. Hamein paisa hi nahin diya aur phir bolta hain ki humlog rupiya chori kiya? Humlog itna rupiya khorcha kiya, 6000 crore kharcha kiya. Kendra keval 3,700 crore diya. Hamara 1 lakh crore ka nuksan hua Amphan mein aur woh bolti hain hum ne chori ki? Arre chori hum nahin karte hain, sina jori aap karte hain. Humein paisa nahin dete hain, phir humein gali dete hain. Yeh dukhat baat hain. Yeh cruelty hain, yeh main aap ko kehna chahta hoon. 

Madam, mein khatam kar dunga. Dekhiye, yeh President ka speech me 91 points hain, lekin repetitive hain. Woh ek hi Pradhan Mantri Gram Sadak Yojona, Fasal Bima Yojana, Jal Jeevan, Poshan Abhijan, National Education Policy, Rashtriya Gramin Commission, blah, blah. Ek hi cheez, sal bhar repeat hote hain, uska koi progress nahin hota hain, aage kuch badhta nahin hain. Aur ek zaroori baat karni hain. Agar Kendriya Sarkar itna kaam karta hain, toh Mantriyon ko mauka kaise milta hain Paschim Bangal jane ke liye?

Main, Madam, Kalkatta se hoon. Main dekha BJP se bade bade pahalwan, sab Mantri log Pashchim Bangal me gaye. Kiso dekha airport mein? Rajendra Singh Sekhawat, unka Jal Jeevan Mission hain aur Paschim Bangal ke gaon me ghumte hain. Aur ek hain Mansukhlal Mandaviya–woh Port Minister hain aur gaye Maldah mein, wahan udhari kaam kar rahe haiin lekin wahan par koi port nahin hain. Dharmedra Pradhan se le ke yeh sab log Paschim Bangal me ‘poilitical tourism’ kar rahe hain. Toh yeh ghumne koh jata hain. <Speaker interrupts>

Madam, woh Bangla bol nahin sakte hain, to kya karenge woh Bangal jake? <Speaker interrupts> Madam, mera pass pura points likha hua hain, lekin agar Mantri log Dilli me kaam na karke Paschim Bangal me ghumte hain <Speaker interrupts>. 

Madam, hum khatam karte hain. Yeh sab karke kuch hoga nahin. Kyunki jab zyada BJP ke log ghumenge tab log Gujarat ke dange yaad karenge aur bolenge—

Panchhi jo udhti hain, gagan badal giya,

Haste hain sitaare, chaman badal giya,

Aj shanti, khamoshi bata rahi hain,

Laash wohi hain, sirf kafan badal giya. 

BJP ek hi hain. Woh Ahmedabad danga unhi ka kiya hua hain.

Anth me main kehna chahta hoon, yeh divisive politics desh me khatam hona chahiye. Log aur logo mein batna sahi nehi hain, ek community ko target karna sahi nahin hain. Aap jante hain Tagore kya bola tha ‘Bharat Tirtha’ mein? 

এসো হে আর্য, এসো অনার্য,

হিন্দু মুসলমান।

এসো এসো আজ তুমি ইংরাজ,

এসো এসো খৃস্টান।

এসো ব্রাহ্মণ শুচি করি মন

ধরো হাত সবাকার,

এসো হে পতিত করো অপনীত

সব অপমানভার।

মার অভিষেকে এসো এসো ত্বরা

মঙ্গলঘট হয় নি যে ভরা,

সবারে-পরশে-পবিত্র-করা

তীর্থনীরে।

আজি ভারতের মহামানবের

সাগরতীরে।

Yeh Bharat ko main salaam karta hoon, naman karta hoon. 

Aur ab main bolta hoon ki aap log bahut dourte hain Bangal mein, lekin Bangla ke log kavita bujhte hain—

যতই কর ফাটাফাটি

নবান্নে ফের হাওয়াই চটি

Matlab, jitna bhi tum karo, Nabanna mein wahin hawai choti pehni huyi Mamata pahuchegi aur das saal rahegi. 

Das saal baad aap ke saath Paschim Bangal ka charcha karenge. Ab wahan jaa ke <Speaker interrupts> koi fayda nahin. Aur hum bahar se nahin chahte ki yeh ladhai ho jaye, Bangali se bahari ka. Yeh bahari nahin rahega. Gujarat se aake aap Bangal ko shamshan nahin bana sakte hain.