December 8, 2021
Satabdi Roy makes Zero Hour mention on demand to keep running the Doordarshan Kendras in the country

FULL TRANSCRIPT
Thank you, Sir.
Sir, main Doordarshan leke bolna chahti hu, jis Doordarshan leke hum log nostalgic hai. Bachpan mein subah hote the woh tune se aur shaam hote the woh Doordarshna ke tune se hi. Abhi mera district ka Bolpur se mere paas kuch log aaye jo bata rahe ki pure India mein charsho gyarah (411) Doordarshan Kendra bandh hote ja raha hain. Adha bandh ho chukhe hain aur 31st March tak sab bandh ho jayega. Mujhe lagta hai, woh log kahan jayenge? Aur sirf woh salary ka baat nahi, wahan pe creative log bhi hote hain, creativity bhi hote hai. Aur aap jab khud dekhenge, tab aap ko pata chalega, jab ek channel se doosre channel pe jaoge, private channels itna glamourous hota hai, itna kuch hota hai par Doordarshan mein itna conservative mentality, itna rules and regulations, aur technology ka instrument nahi hone se piche ja raha hain. Sir, agar yeh itna band ho jayga, toh mujhe nahi, desh ko yeh janna hai: Jo industry, jo sector, jo product, Sarkar ka hota hai, woh loss mein jate kyun hote hai aur jab woh privatise hote hain, woh kyun profit mein chale jate hai? Iska raaz kya hai, agar batayenge, to mujhe lagta hai desh ka bhi upkar hoga. Thank you.