August 9, 2017
Sukhendu Sekhar Roy speaks during discussion on the 75th anniversary of Quit India Movement

FULL TRANSCRIPT
Thank you Sir. Bombay ki Gwalior Tank Maidan mein Congress ka jab aitihasik adhibesan huwa, us mein Nehru Ji resolution move karte huwe unhone bola, and I quote, “We shall fight to the finish”. Aur Gandhi Ji unke valedictory address mein unhone bola, and I quote, “Here is a Mantra, a short one that I give you. You may imprint it on your heart, and let every breath of yours give expression to it. The Mantra is, Do or, Die, karenge ya marenge. British quit India, Angrej Bharat chhoro.”
Congress ko ban kiya gaya. Sare neta aur ek lakh se adhik Congress workers ko sara Hindustan mein pakda gaya. Lekin jaise ki Ram Gopal Ji ne bataya, Jai Prakash Narayan, Achyut Patwardhan, hamare Ram Manohar Lohiya Ji aur Biju Patnayak, Sucheta Kripalini – aise bohot saare neta unhone underground chale gaye.
Leaflets se instruction diya jata tha, yahan tak ki underground se, radio station se bhi instruction diya jata tha Usha Mehta ki netritwa mein, jo ki Bombay se kiya gaya. Aur is tarah sara Hindustan mein andolan fayl gaya.
Main do line padna chahata hoon ek purane leaflet se, jo ki Bihar Pradesh Congress Committee ne us samay issue kiya tha September 20, 1942 ko. Wo bol rahe hain is leaflet mein, “Hindustan ki azadi ki ladai chhir gayi hain. Aaj hum apne ko azaad samajhte hain, Aur British sarkar ko satta ko nehi mante hain. Isliye british sarkar ki kisi bhi kanoon aur hokum ko nehi manna chahiye. Aur us hukumat ke khilaf kya karna chahiye?”
30 bullet point mein unhone bata diya. Main do teen point bolna chahta hoon quote karke yahan se. “Shikshak aur vidyarthi school college chhor do”, “Wakil mokhtar kacheri jana chhor do”, “police paltan wale aur sarkari naukar, sarkari naukri chhor de”, “railway line ukhad diye jaye”, “bade bade pool tod diye jaye”, “taar aur telephone ke taar kat diya jaye” aur “sadak kat diye jaye”. To is tarah sara Hindustan yeh August Kranti Andolan mein uchhal gaye.
Sir, iske baad hum jante hain ki Maharashtra ki Satara mein jo ki Nana Patil, YB Chavan, aur Uttar Pradesh ki Ballya mein Chittu Pandey ki netritwa mein aur Bengal ke Tamluk mein Satish Samanta, Ajoy Mukherjee – in logone nationalist governments form kiya.
Sabse adhik samay teen saal se jyada Satara mein, teen saal chala Bangal mein aur kai mahino chala Ballya mein. Lekin, wahan woh Chittu, unhone jitney Congress karmi ko pakad liya tha sabko reha kar diya. Saare thane, adalat kabza kar liya gaya tha. Yeh yaadgar hai aur yeh yaadgar bane rahegi jab tak Hindustan ka tiranga phaylega Lal Kile par, tab tak yeh yaadgar bane rahegi.
Sir, main bolna chahhta hoon ki isi samaye jab yeh andolan khatam hone wala tha, us samay seema ke us par se Netaji Subhas Chandra Bose ki lalkar thi ‘Mujhe khoon do, main tumhe aazaadi doonga!’ aur Azad Hind Sena ki woh mahan krantikari log, woh kuch kar diya Dilli ke liye, nara lagaya, ‘Chalo Dilli, kadam, kadam badhaye jaa, tu sher-e Hind aage bar, marne se phir bhi tu na dar, aasman pe uhtha ke sar, josh-e-watan badhaye jaa!” Aur is tarah Hindustan ki azadi ka jo momentum create hua uske baad mein mutiny, naval mutiny ke baad INA trial hua Red Fort mein, yeh saare culminate kiya aur iske wajah se humko azaadi mila.
Yeh saare Hindustan ki janta ki ek aitihasik yogdan tha jis mein das hazar se adhik logon ko goli se uda diya gaya tha; lakhon logon ko jail bhej diya gaya tha aur is tarah Hindustan azad hua. Lekin hamein khed hai ki us samay bhi kuch vishwasghtak the! Mirzafar the, jo yeh andolan mein yogdan nahin kiya! Us samay bhi kuch party the jo 120 panne ka report bhej raha hai us zamane ke Home Secretary Watson ke paas ki main tumhare nirdesh par kaam kar raha hoon aur yeh August Kranti andolan ko barbaad karne ke liye har ek kadam utha raha hai. Bengal mein bhi us samaye jo mantri mandal the, mandal ke deputy chief minister jo ki ek party ka second-in-command thay, unhone Governor ko chitthi likh ke bola, ki yeh yeh humne karyavai kiya hai yeh August Kranti Andolan ko daman karne ke liye!
Aaj bhi humare desh mein aise vishwasghatak hai! Aise Mir Jafar hai, aur isliye humara bhaichara sankat mein pad gaye! Humara ekta sankat mein pad gaye, aur isliye humare netri Mamata Banerjee aaj ki is aitihasik din mein wohi Tamluk pe jaake, Midnapur mein jaake aam sabha sambodhit karengi aur naara uthayengi, BJP Bharat Chhoro (Bengali).
Jis tarah Angrezon ne divide and rule politics apnaya tha, us tarah hi BJP ne bhi divide and rule politics apanaya hai aur humla kar rahe hai humare buniyadi, humare buniyadi, star upar. Toh, aaj is avsar par main sare shahidon ko shraddhanjali deke apna vaktavya khatam karta hoon.