Rajya Sabha

February 8, 2017

Limits on cash withdrawal still in place even after 3 months of demonetisation: Sukhendu Sekhar Roy

Limits on cash withdrawal still in place even after 3 months of demonetisation: Sukhendu Sekhar Roy

FULL TRANSCRIPT

Ninety days of demonetisation are complete today. On November 8, 2016, demonetisation was announced. Sir, note bandi ke turant baad adarniya Pradhan Matri ji Goa ke Mopa mein Aam Sabha samvodhit karte huye bola, “Maine sirf 50 din maange hain. December 30 tak mujhe mauka dijiye. Agar December 30 ke baad koi meri kami reh jaaye, koi meri galti reh jaaye, koi meri galat irada nikal jaaye, toh aap jis choaraho mein mujhe khara karenge, khara ho kar ke desh jo saza karega woh saaza bhugatne ke liye taiyar hoon”.

Sir, 50 din toh kya, aaj 90 din pura ho chuki, hum nahin chahte ki desh ki Pradhan Mantri ji ko chaurahon mein khara hone pare, lekin bank account se nagad rashi nikalne mein jo pabandi lagaye gaye hain woh aaj bhi barkarar hain. Hamara party iska khilaf hain aur hamara maang hain ki sarkar turant yeh jo cash withdrawal mein pavandhi lagaya gaya hain, usko withdraw karein ta ki saare janta apne cash account se apne man se, apne dhang se withdraw kar sakey, iska sarkar vyavastha karein.