Lok Sabha

December 19, 2017

Saugata Roy speaks on The Central Road Fund (Amendment) Bill, 2017

Saugata Roy speaks on The Central Road Fund (Amendment) Bill, 2017

FULL TRANSCRIPT

Adhyaksh ji, hamare Mantri Gadkari ji jo Bill laye hain, Central Road Fund (Amendment) Bill, 2017, main usko samarthan karta hoon. Gadkari ji pehle hi bataya hain iske liye alag se koi rupiya nahin lena hain. Pehle aisa tha, ek Central Road Fund Bill tha 2000 ka. Woh keval rasta banane ke liye tha. Aur usme bata diya gaya tha ki kaise rupiya diya jayega, 41.5% of the cess on the development and maintenance of national highways. Toh abhi Gadkari ji inland waterways ke liye rupiya dene laga; toh woh national highways pe 2.5% kam karke usko inland waterways ke liye diya. Jaisa unhone bataya, woh apne daftar se apne daftar ke andar hi paisa transfer kiya, aur is mein Rs 2,345 crore hamare inland waterways ke development ke liye milega. Isme hamara koi apatti nahin hain, hum isko samarthan karte hain.

Dusri baat hain, ek kanoon tha, Inland Waterways of India Act, 1985. Gadkari ji 2016 mein ek National Waterways Bill laye, jisme 111 waterways ko unhone national waterways ghoshana kiya, aur woh consequent amendment jo hain Bill mein laya gayaisme bhi koi apatti nahin hain.

Gadkari ji ne bataya hain ki yeh road fund ke liye kitna rupiya diya jata tha aur abhi kitna rupiya rahein, usme national highways ke liye tha, rural roads ke liye tha, railway overbridges ke liye tha, aur usse jo national waterways ho giya, isse koi apatti nahin hain.

Sir, main ek baar ek sawaal poochna chahta hoon. Mumbai-Pune highway ke liye Gadkari ji ka bohut prasansa hota hain. Lekin mujhe aajkaal lagta hain ki Gadkari ji sapno ka saudagar ban gaye hain. Woh logon ko sapna dikhate hain. Kkahin pe jaate hain toh bolte hain, iska kitna hain, Rs 5,000 crore, ho jayega. Airport chahiye, kitna lagega, Rs 10,0000 crore, ho jayega.

Toh main bolta hoon, kahan se rupiya aayega? Budget mein toh utna nahin hain. World Bank se maanga lunga, IMF se maanga lunga, toh woh sab rupiya nahin aaya. Main Gadkari ji se seedha sawal poochna chahta hoon. Vajpayee ji ke zamane mein Golden Quadrilateral bana tha. Toh aajkaal congestion hua, toll ko leke problem hua, maintenance ko leke problem hua, woh doosri baat hain. Gadkari ji kahan rasta naya banaya – ek highway mujhe dikhaye, aur yeh House ke saamne white paper pesh kiya jaaye ki main yeh rasta naya yahan par banaya, main yeh port naya yahan par banaya.

Yeh, yeh keval sir sapna udaya jata hai, abhi tak zameen par Hindustan ka highway ka kya haalat hai, koi bhi highway se jaata hai, unko pata hai. Sir, isliye main chahta hoon, jo bataye ki kahaan par national highway bana aur kahan raaste ka improvement hua, kahaan raaste ka maintenance acha hua, kahaan raaste par dakaiti bandh hua. House yeh bhi janna chahta hain ki roz bolte hain, ki naya port banega, Sagarmala banega, Bharatmala banega, achhe achhe naam diye jaate hain; kahaan hain Bharatmala, kahaan hain Sagarmala? Port mein kitna invest hua hai? Kitna realisation hua hai, yeh hum aap se jaan na chahte hain.

Mahoday, main jahan se aata hu, mera kshetra hai, Ganga ke kinare hai. Yeh Ganga Uttar Bharat ka lifeline hain. Aaj se bees saal pehle shayad 25 saal pehle jab Rajiv Gandhi Pradhan Mantri the, Ganga ke upar Farakka mein ek Lock Gate banaya gaya, taki Allahabad se Haldia tak jahaz ja sake aur coal, ttar Bharat mein liya ja sake Bengal se.

Main jaan na chahta hoon ki kitne jahaz, burges yeh Lock Gate ko istemaal karke Haldia se ya Kolkata se Uttar Bharat tak jata hai. Bhajpa ne saare teen saal mein kya kiya hai? Yeh main National Waterway number one hai. Ismein kya development hai main dekhna chahta hoon. Gadkari ji mantri banne ke baad maine chitthi likha, ki mere ilake mein jo Ganga ghat hai usko thoda marammat kiya jaye kyun ki erosion ho raha hai. Jawab ek baar aaya tha, “the matter is being looked into”, aaj tak koi result nahi hua. Isiliye main kehta hoon ki sapna dikhaya jaa raha hain.

Sir, aapko shayad pata hoga, humare Kolkata se koyla leke Royal Indian Navigation ka steamer Ganga se samundar se hote huye phir Assam se jaake Kushian river mein jaate the.Woh line bandh ho gaya. Baad mein CIWTC hua aur abhi nahi jata hai.

Gadkari ji bataye ki uske barein mein kya hua. Central Inland Water Transport Corporation uska kya development hua? Hum janna chahte hain. Sir, national waterways bahut acha concept hai. Lekin kya development hua hai, kya progress hua hai? Humara port ka kya hua, hum aankh ke samne dekhta hai ki Ganga ke upar Kolkata port mar raha hai. Isko bhachane ki liye Kendriya Sarkar kya kar raha hai? Humne naya port banaya hai Haldia mein. Uska ek hi channel hai – Indian channel. Woh bhi kharab hote ja raha hai, usko dredging ke liye kya kiya?

Sir, aap bhi madhubani se hain, Ganga toh purvi Bharat ka sab logo ki hai. Ab humara third port banane ka baat chal raha hai, deep sea port. Humne prastav diya ki aap samundar par, Tajpur mein port banaye.

Isliye main kehta hoon, Gadkari ji, zameen par kuch karke dikhaye. Logon ko bachaye. Sapna mat dikhaiye, sapna dekhne ke liye hum cinema jayenge aur yahan par kaam dekhne ke liye House mein aayenge.