Lok Sabha

March 8, 2016

Satabdi Roy speaks in Lok Sabha on International Women’s Day

Satabdi Roy speaks in Lok Sabha on International Women’s Day

Mere ghar mein jo kaam karti hain who aaj bhi kaam kar rahi hain, lekin aaj 8th March hain. Joh raaste mein signal pe bachhe le ke bhikh mangti hain, woh bhi wohi kar rahi hain, lekin phir bhi aaj 8th March hain. Dowry lene ke liye joh sasural unke bahu ko torture karte hain woh aaj bhi chal rahi hain, phir bhi aaj 8th March hain.

Actually, main bahut saare se baat kiya 8th March ka matlab kya hain, kyun yeh special hain. Koi bolte hain yeh special hain kyun ki women special hain, iss liye, aap logon ko respect karte hain isi liye. Aur kisi ka baat yeh hain aap log weaker section hain, aap log neeche ho, aap logon ko support den eke liye yeh Women’s Day hain. Main yeh doosre pe believe karti hoon. Lekin joh bhi gender description hain, discrimination hain, woh tab tak hain jab woh society mein aata hain. Agar koi kisi maa se pooche joh du mahine dus deen kok mein rakhte, usko ladka ya ladki, job hi hain, usme pain alag hote kya, usme anubhav alag hote kya? Uska joh stress hote hain, joh saab mein tension hote hain, woh saab alag hote kya? Kyunki joh bachhe ke duniya, desh aur kok, uske desh hote hain, toh kuch bhi nahin hain. Jab paida ho jate hain tab yeh male-dominated society iska difference karte hain.

lekin tab tak yeh differentiation chalega jab tak economically hum log equal nahin honge. Jab tak hum log ghar mein kaam karenge 24 hours, maybe unka income nahin hain, isi liye woh kuch bhi nahin karte. Jab engineer husband 8 hours kaam karte toh phir uska income count hota hain. Isme income hi ek hain jisme equal baan sakte hain, uske liye education zaroori hain. Jab tak hum log education nahin denge tab tak income bhi nahin honge, tab tak hum iequal bhi nahin ban payenge.

Jaise women ko hamesha ad mein bhi dikhate hain, jaise use karte hain jo product, abhi jo ad bante, jaise TV ka ad hote hain, fridge ka ad hote hain, gari ke ad hote hain, usme kya bolte? Yeh le jaiye, yeh best hain, aapko paisa bachayenge, petrol bachayenge, electricity bachayenge. Equally aap wohin bol rahe hain – ladki bachaiye, beti bachaiye, toh aapko ultimately paise bachayenge. Product bana diya, abhi bhi naari wohi product hain joh fridge, TV, gari ke saath tolte hain.

Humlogka yeh chahiye, aap log agar bolenge ki bus mein special seat chahiye, toh nahin chahiye, humlog bus chalana chahte hain. Aal bolenge ‘ladies first’ aage jaiye, nahin, humlogo ko kandha se kandhe mila ke chalna chahiye. 5 lakh income karne se aapka tax-free, nahin chahiye. 5 crore income karke main pura tax dena chahti hoon.

Ek kavita mein bolti hoon … ek paanch saal ki bachhe uska daddy se poocha, “Daddy, freedom kisko bolte?” Daddy ne kaha, “Jab aap sab jo chahe bol sakte ho, jo chahe kar sakte ho, kisi ke paas aap answerable nahin ho. Jo bhi bologe, joh bhi chahoge, apne man se kar sakte ho, isi ko freedom kar sakte hain.” Toh paanch saal ke bachhe kaha, “Daddy, toh mujhe bhi freedom milna chahiye.” Daddy bola, “Nahin. Tum bachhe ho, tum freedom le ke kya karoge? Jab bade ho jaoge, freedom apne aap aa jayenge. Bade hone se hi freedom milte hain, bade hone se freedom apne aap aa jate hain.” Bachhi ne poocha, “Maa kab bade honge?” Humlogon ka society mein maa kabhi bade nahin hote, iss liye abhi bhi humlog equality ka baat karte hain. Maa ko bade hona chahiye, badi hone dijiye, toh phir yeh discussion ka baat hi nahin hoga. Aur ek baat pa mein conclude karti hoon. Main personally yeh day nahin manti hoon kyunki saalbhar mujhe chahiye Women’s Day. Tab mein 8th ZMarch Nari Divas celebrate karoongi jab 9th March Purush Divas honge because we believe in equality.

Thank you.