Lok Sabha

April 23, 2015

Arpita Ghosh speaks on the demands for grants for Ministry of Chemicals and Fertilizers | Full Transcript

 Full Transcript

Sir, main aapke aur mere party All India Trinamool Congress ke abhari hoon ki mujhe is mudhe par bolne ki ijazat diya hai. Sir kal hi Dilli me ek bahut hi dukhat ghatna ho gayi hai jiske charche hum subhe se kar rahe the.

Kisaano ki is desh me abhi sabse jyada sankat hai. Kabhi weather ke chalte, matlab, jyada barish hona ya barish ki kami. Kabhi kendriya sarkar ke policy ke chalte, jaise ki land bilk e naam pe kisaano ke zameen harapna. Hamare Bengal ke adarnya Mukhya Mantri Mamata Banerjee ne kendriya Vitt Mantri  adarniya Arun Jaitley ji se maang ki hai ki peereth kisaano ki loan maaf kiya jai. Khaskar humare Bangal ke aloo ugane wale kisaano ke purane loan maaf karke naya loan ki bandobast kiya jai.

Aur aaj main jis vishay pe bolne ja rahi hoon, fertilizer aur khad ka aisa mudhya hai jo kisaano ke saath judi hai. Sir, fertilizer industry me government subsidy dete aayi hai aur ye nayi sarkar bhi usse nahi hatin. Par jo subsidy Government is industry ko deti rahi hai, kya uske faide kisaano ko mil rahe hai?

Standing committee ke report me bhi spasht hai ki ye subsidy ke faide zyada tar black marketers, smugglers, distributers ko mil raha hai. Aur sarkar ke pas in samasyao ki na toh koi hal hai na hi hal nikalne ki prayas nazar aa rahi hai kyon ki yeh sarkar ne is bare me koi policy ki zikar nahi ki hai, na hi koi nayi soch aayi hai.

Humare prativeshi deshon me fertilizer par subsidy nahi hai. Isi ke faide uthakar border areas mein smuggling racket chal rahi hai. Khad waha pe zyada daam par bech rahe hai aur desh me artificial crisis create karke humare kisaano ko zyada daam me khad kharidne ko majbur kiya ja raha hai. Mai mananiye Mantri Ji se jaan na chahti hoon ki is bare me sarkar ki kya soch hai.

Direct bank transfer ki baat jo abhi ho rahi thi. Jo scheme hai who abhi bandh pari hui hai. Sarkar ke mutavik usme mushkil aa rahi hai. Abhi ye sab baate samne rakhte huey, sabhi manenge ki khad ki production badhana zaroori hai ta ki imports bandh ho aur kisaano ko khad sahi daam par mile.

Sir, mai is sadan me apke madhyam se mananiye Mantri ji se anurodh karna chahti hoon, ki humara Bengal me bandh pari hui factories chalu karna bahut zaroori hai. Jaise, Bengal Immunity, Barranagar, Smith Sanitary, Convent Road – yeh bandh hai aur inhe kholna jaruri hai. Bengal Chemical jo Acharya Prafulla Chandra Roy ne shuru ki thi, woh bahut dino se bandh hai. Us unit ko fully revive karna bahut hi zaroori hai. Haldia aur Durgapur me bandh pade hue khad ki factory ko turant kholne ki prabandh ki jaye.

Sir pharmaceutical sector aagey badi hai, yeh main manti hoon. Par medicines ki price itni zyada hai ki aam admi ke liye medicine kharidna bahut hi mushkil ho rahi hai. Isi liye main request karna chahti hoon ki mere Bengal me sarkari hospital ke saath Mamata ji ne fair price shop kholne ki prayas kar rahi hai. Vaise hi desh ke kone kone me fair price shop kholi jani chahiye jaha cancer aur life saving drugs bhi milna bahut zaroori hai.

Sarkar se main akhir me ek hi request karna chahti hoon ki sirf Twitter ya sadan me kisaano ke paas khara rehne ki baat na bolke aisa policy banaiye ta ki sach much kisaano ya aam janta ko faida ho. Corporate se dhyan hatake thodi bahut aam janta par dhyan dijiye ta ki puri desh khush reh sake.

Dhanyavad. Namaskar.