March 3, 2016
Sukhendu Sekhar Roy addresses the Motion of thanks on the President’s Address

Sir, adarniya rashtrapati ji ka abhibhashan jo pesh kiya gaya uska samarthan karta hu. lekin vastav me ye sarkar ka report card hai. jo report card me rashtrapati ji ne 81 paragraph me sarkar ki jo so called achievements hai wo achievements ke baare me bataya gaya.
Kuchh bhakt log hai jo Hanuman Chalisha parte hain. Aur Rashtrapatiji ka bhasan main 81 paragraphs hain, agar nau jor deteto ek shaw ban jaata. Sarkar ka Shatnam ban jate aur Sarkar ka Shatnaam ham gaate rahte.
Sir, yeh avibhasan sarkar ki prashansa se bhare hue hai. Iss main kya nahi hai. Bullet train bhi hai aur train main bio-toilet ke bhi charcha bhi hain. Sir, isme LNG bhi hain aur LED bulb bhi hain, kayakalp bhi hai, mayakalp bhi hain.
Agar koi dhyan se yeh abhivasan pare, kayakalp to zaroor dhund nikalega lekin mayakalp nahi dhoond nikalega kyun ki nahi hai lekin ek soch hai. Maya bhi hai kalpana bhi hai. Ek myth bhi hai, dream bhi hai. Main isley kehna chahta hun ki Sarkar jaise do saalon mein saare hindusthan ke chehra badal diya aur yeh Sarkar janata se ummid karne lage abhise ki Sarkar ke rup aur rang dekh ke who purane Md. Rafi ka gaane gungunaye –
Chaundhvi ka Chaand ho ya aftaab ho,
jo bhi ho tum khuda ki kasam, la jawab ho.
Toh Sarkar ka ye humid hain ki janata aisa gungunya. Lekin hamein afsos hain ki Sarkar ki yeh jo rukh hai, yeh bastab se bahut dur hai. Kuyn ki kal me shun rahata tha, J P Nadda Saab, hamara Health Minister jinhone is discussion ko initiate kiya. Inka bhashan shunte shunte mera dhyan doosri taraf chala giya. Pichle December 2015 mein Health Minister jo Helath Reprt pesh kiya tha usme keya hai, main do-teen bullet point main parna chahta hun –
1. 55% of Indian women aged between 15 and 49 have anemia or low blood cell count.
2. Over 38% of children have stunted growth and 18.6% children below three years have low birth weights that is under 2.5 Kg
3. Malnutrition is such that only 50.5% of infants of 6 to 35 months receive solid, semi solid or soft food. Others do not get.
4. 44.7% of girls aged between 15 to 18 have low basal metabolic rate.
5. Only 21.3% of our children under three years of age receive supplementary food under ICDS programmes, 21 days a month.
Health Minister ka yeh achievement hai. Sir, is avibhasan mein Mudra Bank ke bare mein kaha gaya, Jan-Dhan Yojna ke bare mein kaha gaya. Lekin, hamara Hindustan mein jo nationalized banks hai, uska halat kya hai? Bankfail hone wala hai. Second World War ke bad bahut banks fail ho gaye the. Abhi aisa halaty paida ho gaya. NPA 3.7 lakhs. Kisine paisa kha liya, inka koi jawab nahi hai. Koi charcha nahi hai. Jo big players hai, big fish hai, jo janta ke saare paisa kha liya, usko kaise pakra jayega, iska bare mein koi charcha nahi hai.
Sir, hamare neta Derek O’Brien ihan bahut bistaar se bat kiya. Ye abhbhashan ke upar ne unhoina tippni kiya hai. Abhi mei utna aur bistaar nahi jaana chahta hun. Lekin, ant mein aapke samne Naya daud film ka kucch kaliya pesh karna chahta hun aur aapeke madhyam se unh chanh kaliyo se main Sarkar se agraha karungaki usko dhyan rakhekiunki yeh sirf gaana nahi, yeh zindegi ka sangeet hai aur hare k insane ko aur Sarkar ko bhi dhyan mein rakhna chahiye –
Reet aur riwaj, sab tumhare saath
Dharm aur samaj, sab tumhare saath
Aapne saath keya, dhul aur dhuan
Aaj kya hain tum, nochlo juan
Aanewala daud lega sab hisab
Mere kehne ka matlab hai is gaan ke madhyam se, aap haamein hisaab mein mat rakhiye lekin aane wala daud ko toh fikr kijiye, kiunki unke paas aapko jawab to dena hi parega. Chunao ke baad bhi dene parega, chunao ke pehle bhi dene parega, har samay dene parega. Aj sare Hindustan ko jo halad hain, har pal mein koi na koi jayga asantosh payda ho raha hai. Isko rukhne ke liye keya tarika nikala jaye aap sochiye.
Main to kabhi kabhi ek ajib sa bhul bhulaiya mein fas jata hun. Keya ho raha hai desh mein. Is bhulbhulaiya se humko nikaliye, janta ko nikaliye.