Rajya Sabha

August 1, 2016

KD Singh asks Supplementary Questions on the clearance of environmental projects in West Bengal

KD Singh asks Supplementary Questions on the clearance of environmental projects in West Bengal

Sir, the Ministry of Environment is a very important Ministry. Sir, my State of West Bengal has been getting step-motherly treatment from all governments. Jab purani government thi tab ajeeb ajeeb naam ke taxes the. Ab vali sarkar mein jitne bhi centrally-aided projects hain, un mein roz koi na koi tabdili karke, state contribution ko bada diya jata hain jisse projects mein delay ho jati hain.

Sir, mera sawal tha ki kitne projects hain Ministry of Environment mein jo held-up hain from the State of West Bengal. Jo reply mujhe mila hain usme bahut sara procedure diya gaya hain ki kis procedure se hota hain. Joh Annexure hain, usme agar aap dekhenge toh malum parega ki shayad koi projects mein kuch delay hain hi nahin.

Mananiya Mantri Ji yeh achhi tarah se janti hain ki bahut si projects hain, aisi projects yaad kara sakti hoon. Mamata Didi jab Railway Minister thi, unke inaugurate kiya hua projects abhi tak held up hain. Mananiya Mantri Ji, agar aap chahe toh main bol sakti hain, lekin Chairman Sa’ab do supplementary allow karenge.

Ek hi detail main jaan na chahta hoon ki hamari State West Bengal ke saath yeh step-motherly treatment kab tak chalti rahegi? Aap ke paas jo hamare projects held up hain woh kab tak karenge aap poore?

Sir, aap ke madhyam se main Mananiya Mantri Ji se yeh janna chahunga ki woh writing mein mujhe de de ke kaun se projects inke paas hain jo 190 din ke purane hain. Nahin toh main bhi purane details padh kar suna sakta hoon.

Main aap ko ek particular kissa batata hoon. Purulia to Ranchi 400 kW ki transmission line hain, Sir. Yeh mere question ke baad last Friday listed huyi, Sir. Mera yeh maan na hain yeh shayad mere question ke baad hi huyi.

Sir, uske bare mein bata dijiye ki uska status kiya hain. Us list ka received date koi nahin di isme aapne, ki kab woh received huyi. Haan, iss Friday ko aapne woh take up ki, uski fate iya huyi yeh bataiye.