Sultan Ahmed raises the issue of vacant posts of school teachers across India | Transcript

Desh ka siksha bivag phichle saat mahine se mustarif controversy ka shikar hua hai. Kabhi Sanskrit ko le karke, German ko le karke, X-mas ke chhutti ko band karke… lekin jo asal mudda hai desh me – takriban 6 lakh primary teachers ki jagah khali hai. Desh me school ki jo halat hai, swachh bharat abhijan kar rahe hai school me, toilet ki baath kar rahe hai lekin agar school me sikshak na rahe, toh school chalega kaise? Aaj bhi chahe who Gujarat ho, Bangal ho, Uttar Pradesh ho – school me bachche jate hai, teachers nehi hote hai woh wapis aa jate hai.

Mid-day meal ka haal wohi hai. Toh 6 lakh primary teachers aur 3.5 lakhs upper primary teachers – mai yahaan sadan me, mai kahunga ki Government of India ek time-frame banaye, kyunki 6 lakh aur 3.5 lakh teachers ki bagair school nahi chal sakta.

Jis tarah hum abhiyan manate hai muftalif nam se, yeh bhi time frame banakar jin schoolon mein toilet nahi hai, sauchalay nahi hai, yeh toh apne plan kiya hai, lekin bagair teacher ke, sikshak ke school nahi chal sakta hai. Right to Education 2010 me lagu ho chuka hai, lekin yeh sirf naam ka hai, is par kaam nahi ho raha hai. Dhanyabad.