Rajya Sabha

March 19, 2020

Dola Sen’s intervention during a discussion on the working of MSME Ministry

Dola Sen’s intervention during a discussion on the working of MSME Ministry

FULL TRANSCRIPT

Sir, jo aap ne bola sunne mein bahut accha laga, bura mat manyega, lekin humko laga ki subjective wish ki saath objective reality ka bahut antar hain. Ek reference hum aapko denge, aap bol chuke hain ki Rs 10,000 crore ki corpus fund hain aapke paas, budget crunch ke bare me bolne ka time, lekin hum PF aur ESI Boards ke andar hain.

Aur humko pata hain ki PF Board aur ESI Board ka Rs 1 lakh aur Rs 1,000 crore ka corpus fund hain. Lekin jo closed and sick industries hain unka workers mar jate agar management nahi rahta to. Woh corpus fund se usko nahi diya jata hain, iska policy ke bare mein hum Labour Department mein charcha karte hain ki woh corpus fund kyun share bazaar mein khatayenge aur kyun, jo closed, sick industries ka workers hain, jiska paisa woh hain, unko kyun nahi milega. 

To iss tarha corpus fund agar aap ka paas hoga, toh aap bataiye ki budget crunch — jo MSME ka problem hain, aur jiska do Honourable Members ne bhi zikr kiya — bank ka problem hain aur tin mahina mein sab tankha milega. MSME ke liye bahut saare concerns hain jisko solve karne ke liye teen mahina se zyada lagega. 

Toh corpus fund ke baare mein aap kya policy banana chahta hain, agar Rs 10,000 bhi hain, yeh agar spasht roop se aap bataye dete to accha rehta.