Lok Sabha

February 7, 2017

Tapas Mandal speaks on The Payment of Wages (Amendment) Bill, 2017

Tapas Mandal speaks on The Payment of Wages (Amendment) Bill, 2017

FULL TRANSCRIPT

Sir, Iss Bill ke virodh mein nahin hain hum, lekin kuch kuch iss Bill mein hain jiske bare mein hum question kar sakte hain. Kyunki jo Bill hain, jo pehle Ordinance tha, and that was the 26th ordinance made by the Government since inception – inn logon ka aur iss Government ka loktantra par kitna vishwas hain isi se hi pata chalta hain.

Minimum wages ke bare mein kuch iss Bill pa nahin hain. Saare desh main unorganised sector mein bahut log kaam kar rahe hain, jin logon ko bahut kam tankhwa milte hain. Yeh minimm wages ko badana chahiye – iska pravdhan iss Bill pe nahin hain. Iss Bill pe yeh nahin kaha gaya ki hamara Paschim Bangal mein bahut saare tea workers hain, jute workers hain, jin logon ko tankhwa nahin mil rahe hain.

Mamata Bandyopadhyay ne bahut bar keh chuke hain, hamare mananiye sansadon ne baar baar yeh mudda uthaya hain iss Sansad mein. Lekin Government ka dhyan iss par nahin hain.

Iss mauke pe main phir appeal karta hoon, hamare tea workers ke liye, jute workers ke liye aap rupiya bheje jis se un log zindagi achhe se jee sakey. Yeh jo kanoon tha 1936 ka – 80 saal purana ek kanoon – jis mein rupiya milne ka ek hi tarika tha, jab paid through coins or cash. Abhi iss mein kya mila? In addition to the existing payment modes, unka account mein rupiya jayega aur cheque mein jayega. Toh kiya iss mein jo exploitation ho raha hain, kam ho jayeja? Yeh mera sawal hain. If you want to continue and maintain transparency in transaction modes, at least make it digital, and not retain payment through cash or coins. Yeh nahin hona chahiye. Yeh hamara kehna hain.

Hamare iss Bill pe jo kuch hain hum sweekar karte hain, lekin jo nahin hain iske bare mein thoda sa vichar kare, kyun ki jo companiyan hain, industry hain, woh log exploit karte rehte hain. Uske bare mein kya action lena hoga, kya mudda uthana hain iske bare mein koi provision nahin hain. Iske bare mein the Government should think about, and they should take some stringent actions against those who are violating the laws. Iss ke liye hum kehte hain ki to take actions to set up an institute that will monitor the transparency in mode of payment, and if there is any discrepancy they can sort it out, and take actions according to the law. Yeh hamare kehna hain.

Yeh jo Bill hain hum swagat karte hain lekin hamare desh mein itne saare workers hain, itse saare sramik hain organised aur unorganised sector mein, un logon par dhyan digiye. Hamare tankha bahut hain, hamare salary bahut hain lekin jo aam aadmi hain, jo garib hain, jinke liye Mananiye Pradhan Mantri ne sawal uthate hain, unka koi nahin hain. Un par dhyan digiye,, unka tankha badhaiye, aur unko jo minimum wages de rahe hain usko bhi badhaiye – aap ka bhala hoga, hamare liye achha rahega, desh ka bhala hoga. Isi shabdo ke saath mein aap ko dhanyavad deta hoon. Dhanyavad.