Lok Sabha

February 25, 2016

Sultan Ahmed speaks on Election Laws (Amendment) Bill, 2016 in Lok Sabha

Mananiya Sangsad ne kaha ke 6 mahine ho gaye. Lekin ascharya hoga Deputy Chairman Sir, inki party Bengal mein 40 saal satte mein rahi. Yeh samasya 1950 se rahi hai. Lekin yeh aaj chunauti de rahe hain 6 mahina rajya sarkar ne lagaya. 40 saal inhone kya kiya?

Itna bara ilaka desh ka Bangladesh ke paas tha. Jo subidhayein waha ke logon ko milni chahiye thi woh nahi mili. Wahan ke kisan bhukhmari se mar rahe the. Unke paas rehne ka makaan nahi tha. Yeh log 40 saal satte mein rahe aur kuchh nahi kiya. Yeh batayein 40 saal tak in logon ne kya kiya, apne logon ke liye kya kiya?