September 15, 2020
Saugata Roy replies to Minister of State for Consumer Affairs on The Essential Commodities (Amendment) Bill, 2020

FULL TRANSCRIPT
Sir, Mantri ji ne jo bayan diya, us se main santusht nahi hoon. Main ek cheez unhe yaad karwana chahta hoon. Yeh baat sahi hain ki Hindustan ka paidawar bara, gehu ka aur chawal ka. Lekin yeh bhi yaad rakhna parega ki hamara jansankhya bhi bara. Jahan 360 million tha 1951 mein, abhi jansankhya 1.3 billion hain, matlab 130 crore hain. Mulk ko har kadam uthana chahiye itna bara janata ko khilane ke liye.
Maine apne bhashan mein bola ki humne dekha ki kaise migrant log ko COVID-19 ke karan kitna samasya hua, khane ko kuch nahin mila, Sarkar bhi kuch intezaam nahin kiya. Migrant labour ke bare me kuch nahin kiya. Raste se chalte chalte mar gaye log, yeh aap ne bhi dekha hoga, Sir.Sir, 1955 se yeh Essential Commodities Act tha, is mein 13 amendments hua, lekin yeh pehla baar amendment karke aap pura dilution kar rahe hain stock limit ka. Aur ek sawal mujhe puchna hain Minister se, ki aap Maharashtra se hain, aap pyaz ka samasya samajhte hain, aap kah rahe ki “any action on imposing stock limit may be issued under this Act, only there is 100 per cent increase in the retail price of horticultural produce.”
Maharashtra sab se bara pyaz ka producer hain, Nashik uska centre hain. Yeh jo 100 per cent increase bola, yeh kis basis par aap ne bola? Aur pyaz ka jo samasya hota hain price leke har saal—kyunki yeh perishable commodity hain—aap uske bare mein ke kiya? Yeh 100 per cent calculate karne ke pehle aap krishi vaigyaniko ko consult kiya? Nahi kiya. Yeh aap ek to kharab kanoon kiya aur sabse zyada yeh kanoon se Maharashtra ke farmers, jaha se aap aate hain, woh suffer karega kyun ki aap cost of production taken into account nahi kiya.
Sir, is liye yeh Ordinance bare punjipatiyon ke paksh mein hain. Reliance aur Adani group ko warehousing mein ghusne ka mauka dene ka liye hain.