March 12, 2015
Arpita Ghosh speaks on Railway Budget 2015-16 | Transcript
Full transcript:
Bahut bahut dhanyavad, aaj mujhe is ahem mudde par bolne ka mauka diya gaya. Sir, iske pehle jab kabhi bhi Budget ki time ati thi, mai TV ya newspaper ke madhyam se janne ki koshish karti thi, ki hume kya mila. Matlab, hum jaise aam janta ko kya mila.
Par, is bar hamare leader Mamata Banerjee aur hamare kshetra ki janta ki badalaut se yeh Sadan me a kar Budget sunne ki mauka mili. Main unke bhi abhari hu. Is bar session me baith kar Budget sunte waqt, har waqt yehi sunne ki chah thi ki ,hume kya milegi. akhir me nirasha chhor ke, kuch bhi nehi mili.
Sir, chand dino pehle humare Pradhan Mantri ji ne yesi Sadan me federal structure ke baath kiye tha. Rajya aur kendra ki mili bhagat kam karne ki baath kar rahe the. Unhone yeh bhi bole bharatvarsh ki purbi kshetra thora pichhe chal rahi hai, aur is kshetra ki development ke liye, woh vishesh udyog lenge. Aur jaha tak mujhe pata hai, Paschim Bangal bhi usi purbi kshetra main ati hai.
Par Rail Budget main dekha gaya Paschim Bangal ke liye Prabhuji ne kuch bhi nehi diye. Main hairan reh gayi.
Mai ek pichre huye kshetra se Sansad banne ayi hu, Balurghat Lok Sabha kendra jo north Bengal main parti hai. Jab Mamata Di, Rail Mantri thi, unhone mere kshetra me pehle bar rail line layi thi aur kahi projects di thi, jaisa ki Balurghat Hili new rail line, new construction Itahar-Buniyadpur, new construction Buniyadpur, Kushmandi via Kishanganj, new construction Buniadpur wagon factory. Yeh wagon factory banne se bahut logo ki roji-roti intejam ho jata. Par, hairani ki baath yeh hai, ki Mamata ji Rail Mantrak chhorne ki baad se humare waha kaam bandh pare ha. Koi allotment nahi ho rahi hai. Ajeeb baath to yeh ha,i kuch project ki zikar bhi nehi hai. Balurghat – Hili Rs 200 Crore ki project mein Mamata ji chhorne ki baad keval Rs 2 Crore mila hai.
Funds ki namo-nishan nahi hai. Kolkata Metro ke halat bhi waisa hi hai. Jitne bhi projects Bengal se hai, zada tar projects mein koi allotments nehi hui hai aur bakiyo ki allotments ne hone ki barabar hai.
Sir, hamare mannaniya Rail Mantri Budget Speech mein bataye they ki Bharat ka Railways manchitra dhamniyo ki aisa network hai jo Bharatiyo arth vyavastha ki hriday mein jivandayi rakt ka sancharan karti hain. Mein namrata ke sat unko puchhna chahta hun, agar hriday ki kisi kone mein rakt sanchalan dhimi ho jaye ya bandh ho jaye, kya hriday ki dhadkan hi bandhi nahi ho jayenge?
Sir, mujhe yeh samajh mein nahi araha hai ke aisa kyon hua? Jab khud Rail Mantriji ne apne speech mein itni dawe ke saath strong political will ki baat bataein hai, mujhe koi ashanka ho rahi hai ki unki aankhon ki roshni Bengal tak na pahuchneki ka karan bhi strong political will nahi hai toh? Age chalke yeh baat galat sabit ho toh mujhse jaada khusi aur kisi ko nahi hogi, yeh baat bhi mein dabe se kah sakti hun, par abhi filhal yeh sochne ke siva aur koi chara bhi nahi nahi hai.
Mahilao ke safety ki leye kuchh alag hi sochenge yeh Rail Mantriji khud batyei hai magar kya sochonge nahi bataye. Mahilayo ke liye mahila bahini ke jo jikar Mamata Banerjee ke Budget me thi who bhi kahi dikhai nahi diye.
Aam janta ke liye ke soch hai Mantriji ki yoh bhi nazar nahi aye.
Nazar aye to keya aye? Mobile charging points badai jayegi, kuch Wi-Fi ki baat sunai di, kuch speedy trains, bullet trains, yeh sab shunai di. Is ikkis wi sadi mein jab Wi-Fi ki baatein chal rahi hai, sayed hamara Rail Mantri bhul gayi hai ke mere kshetra ki Hili, Kushmandi jaisa bahut sare aise jaiga hamare desh mei hai jaha abhi tak rail line nahi pahuchi ya sanctioned project bandh pari hui hai.
Mantriji ne Budget ko Rs 1,00,000 Crore bataye hai, General Budget se Rs 40,000 Crore aur rail earning se Rs 17,000 Crore ki bat batain gayi hai. Baki Rs 47,000 Crore ka bandavast kaha se hogi, uski koi zikr nahi hai.
Sir, humein khed hai is baat ki, ki jivan mein pehli bar Sadan mein baithke jo Rail Budget samne mein ayi, who bahut hi aspasht aur dhundhla hai. Koi spasht rup samne mein nahi ayi hai. Ayi hai to kano mein gunjnewale kuch shabdo, ayi hai to kabhi sach na honewale sapne.
Mantriji, ho sake to us shabdo ko kuch rachna banaiye, ho sake to us dhundhle hue sapno ko sach kijiye aur Bengal ko Railway Map mei jaiga dijiye. Hamare jitney bhi budgets hai, uske bare mein dobara sochiye, khaskar mere sansad kshetra Balurghat ke projects ko sakar kijiye.
Dhanyavad.