Lok Sabha

February 8, 2017

Arpita Ghosh’s question in Lok Sabha on internet penetration in rural areas

Arpita Ghosh’s question in Lok Sabha on internet penetration in rural areas

FULL TRANSCRIPT

Thank you, Speaker Madam. Mera jo MP quarter hain wahaan pe WiFi pariseva sahi nahi hua hain, optical fibre charo taraf chhahel raha hain. Mera jo Balurghat constituency hain woh ek rural area hain. Abhi Mantri sahab bata rahe the ke rural area pe kaam zada ho raha hain; mera constituency mein abhi tak line proper nahi hua hain, adha din line kharab rehti hain.

Mujhe ek baat samajh me nahi aa raha hain. Yeh sarkar optical fibre ki baat kar raha hain, cashless economy ki baat kar raha hain, internet ki baat kar raha hain, toh is pe jor diya jai ke kaise Government kaam karegi, kyuki private parties agar itna achha kaam kar raha hian toh kaise government nahi kar sakti hain. Pradha Mantri ji vigyapan mein aa raha hain. Mere constituency Balughat mein kab tak yeh pariseva thik ho jayegi, sahi matlab se kabse ye chalu ho jayegi.