July 31, 2019
Aparupa Poddar speaks on providing ways for banjaras to have respectable earning to prevent them from begging

FULL TRANSCRIPT
Dhanyavaad Adhyaksh Mahoday ji, main aap ke madhyam se Bharat Sarkar ka ek bahut gambhir vishay pe dhyan aakarshan karna chahungi. Jab bhi hum log session ke liye aate hain, toh Indira Gandhi Airport se jab bhi hum travel karke apne ghar jate hain toh dekhte hain ki banjaare rehte hain traffic pe, woh log apne apne bacchon ko khada kar detein hai taaki un log se koi phool khareed le ya kuch toys khareed le. Toh ye international airport se jab desh videshon se bahut tourist aatein hain toh phir yeh desh ka kya chhabi leke jatein hai? In banjaaron har Government policy se vanchit rehte hain. Kya in logon ke paas Aadhar card hai, kya in logon ke bache sahi se immunise hote hain? Toh yeh cheez par,dhyan dena chahiye kyunki humne paanch saalo mein dekhe hai ki kisi ne banjaaron ke barein mein koi baat nahi uthaya. Aap bhi Rajasthan se hai. Jaipur airport se bhi jab hum log highway ki taraf jaate hain tab bhi hum logon ne dekha hai. Is cheez ke liye main yeh Government ko, jo huge mandate le ke aaya hai, arz karna chahti hoon ki un logon ke baarein mein kuch sochein. Dhanyavaad.